Tuesday, July 17, 2012

Kameez poori geeli hai...

A Keyrun Rao Original



Aaj toh kameez poori geeli hai
Aur aankhein bhi zaraa nam hain
Tujh se juda ho kar phir kyon
Aaj kuchh aisa ajab aalam hai

Ek baar royi thi meri kameez par
Aaj wahaan gehhra ek zakham hai
Saath chale hum, kya thi wo dagar
Ab wahaan main aur ye tanhaayi hai

Kameez dhul gayi, daag bhi mit gaye
Tere saaye ke nishaan, kaise reh gaye
Rooh yeh humaari tarasti rahi aaj bhi
Hum ek ganda mazaak banke reh gaye


Aaj toh kameez bhi poori geeli hai
Aur aankhein bhi zaraa nam hain
Lahoo bahaa jahaan zakhm kam hai
Tere bin aaj bhi adhoore hum hain

Poore nahin hue, sab adhoora hi lagey
Jab dekha hum aaj phir hum akele jagey
Kuchh duaein, thodi meethi baatein suni
Ab kaun hain paraaye, aur kaun sagey?

Bheeg kar aaj bada hi mujhe achchaa laga,    
Jaise phir sadiyon ki neend ke baad jagaa
Duur hai bahut mujhse aaj kahin tu kahin
Phir kyon mujhe dhadkan ke kareeb laga?

Aaj toh kameez bhi poori geeli hai
Aur aankhein bhi zaraa nam hain
Neend kam aur khwaab zyaada hain
Chal rahi saansein aur ye dhadkan hai...

No comments:

Post a Comment