Friday, April 1, 2011

Intezaar mein…

A Keyrun Rao Original

Beh gayi saansein, jam gaya lahoo,
Intezaar mein tere kab tak rahoon?
Ghazlein suni, kuchh afsaane padhe
Zindagi chalti rahi, dhuup roz chadhe



Kabhi hawaon mein udti teri dua mili
Kabhi samandar ke namak mein paayi
Teri badmashi bhari muskaan mein
Asmaani gehraai humein di dikhaayi

Din-o-saal ke darmiyan lut rahe pal
Pahaadon se gire jaise koi jharna
Kabhi jo yaad aajaaun main kahin
Mere ishq ka salaam qabool karna

Intezaar mein jhapki lagti kabhi
Kabhi do aansoo toot ke gir jaate
Phir koi pyaari baat yaad aati teri
Rote hue bhi muskaate se reh jaate

Bada arsaa ho gaya hai ab juda hue
Phir bhi kal jaisa maloom padta hai
Hamesha ka saath to rehta nahin
Kyunki jism se bhi rooh bichhadta hai…

Pic courtesy: khimaereus