Just another try, apologies to Mr Piyush Mishra!
Ek bagal mein maut hogi, doosri mein dhadkanein
Rooh jalti hai aksar, Kaisi teri bataa hai silwatein
Ek bagal mein chhanv hogi, doosri mein karwatein
Lahu khaul chuka hai, jaane kaisi hain yeh khabrein
Ek bagal mein saans hogi, doosri mein hain mehfilein
Khush hain tanha hum, ya raas hai aayin dhadkanein
Kuchh samajh nahin aata, sab theek ho chala hai ya
Kuchh toh baaqi reh gayi hain apni saari ranjishein
Ek bagal mein haan bhi hogi, doosri mein nafratein
Koi padhega Quran, kuchh keh laayenge qafirein
Koi ek toh so jaayega aaj maut ki hi neend mein ab
Kuchh toh aaj phir bhi dhoondha karenge saazishein
Ek bagal mein chaand hoga, doosri mein parchhaiyaan
Yaad aati hain mujh ko, ab bhi teri woh naadaniyaan
Thoda kuchh tu nikhre, kuchh main bhi aaj chamkoon
Rahengi adhoori phir bhi, shaayad apni yeh kahaaniyaan
Ek bagal mein kuchh dard hoga, doosri mein tanhaiyaan
Itne gehre doobenge hum, yeh kaisi teri hain gehraiyaan
Aaj mujhko jee lene de, thoda sun bhi lene dein aaj tujhe
Yun lagta hai jaise, mit gayin meri toh rooh ki gehraaiyaan
No comments:
Post a Comment