Wednesday, July 18, 2012

Kab tak chamkega taara...

A Keyrun Rao original, dedicated to Rajesh Khanna saahab. May his soul rest in peace.


Kabhi socha hai yeh ke do suraj aur chaand hote agar
Kiski chamak ko maante, kiski keemat hum pehchaante
Taare bahut dikhte hain, sabse chamkeela suraj hai magar
Ek aur hota samjho, uski kadar kya kabhi bhi tum jaante?

Suraj ne pata nahin kitne taaron ko kya jaane maara hoga
Chalaak tha woh, roshni ki hi toh baat thi unke beech mein
Suraj aur sitaaron mein duuriyaan utni bhi toh nahin thi na
Taaron ka darr suraj ke dil mein bhi kahin tab raha toh hoga

Bahut din jalaa suraj, par raat ko toh chamakta taara hi tha
Samajh nahin paaya bechaara, jalta raha din-ba-din woh
Andhere ke baad ka baadshah woh chaah kar hai nahin
Bujh jaane ke baad riyasat jalte hue chaand taaron ka tha

Bada guroor tha suraj ko, ke chaand ki bhi wo jagah le lega
Itna chamkega, ke din aur raat par akele hi woh raaj karega
Nadaan tha, samajh nahin paaya ke, tim-timaate taaron ki
Baadalon mein jagah woh akela hi kaise yun bhar sakega


Kabhi socha hai yeh ke do suraj aur chaand hote agar
Kiski chamak ko maante, kiski keemat hum pehchaante
Kaka ek akele hi they, aur hamesha ke liye woh rahengey
Bina unki muskaan ke, kuchh meel hum chal bhi lenge...

Dagar andheri hogi, chamak jaane kahaan chhupi hogi
Woh adaa woh muskaan saath na bhi rahi toh bolo kya
Chalenge hum bhi, rukenge nahin, chaahe jo bhi baat ho
Unke jaise thaay haalaat, kya ab humaari bhi aisi hi hogi?

No comments:

Post a Comment