Tuesday, July 3, 2012

Mausmi si tabiyat...

A Keyrun Rao Original

Miley kabhi hum pyaar se, kabhi socha hai aetbaar se
Duur kyon hain pata nahin, dhoondha tujhe tha pyaar se
Raaste toh alag hi rahey hain, jab muda tha raah mein
Tere saaye ko maine maanga, kya jaane kitne qaraar se

Mausmi si tabiyat; parbaton si mushkil rahi meri raahein
Gar tu jo mil jaaye humein, phir tham jaayein yeh aahein
Kuchh der toh hum bhi rukein, thoda tum bhi tham jaao
Jaanein kis ke liye hain hum, khol kar baithe apni baahein

Meri thodi khushi tum jee lo, bahaao aansoo, kuchh hans lo
Aansuon ka kya hai bolo, main ro loon, thoda tum hi hans lo
Aage ki kahaani jaane hai kya, saaara kuchh dhundhla sa hai
Thoda sa main aur jee loon, aur thoda sa tum bhi aaj hans lo


Mausmi si tabiyat; parbaton si mushkil rahi meri raahein
Gar tu jo mil jaaye humein, phir tham jaayein yeh aahein
Kuchh theek hain, thode se hain khafaa, tum bataa do
Kaisi hain ye manzilein humaari bhi is qadar bhi  bewfaa

Kuchh aur pal chal ke bhi dekho yun saath humaare
Chaand aur suraj nahin rehte jaane kyon paas humaare
Aapka chaand shaayad aapka hai jaane kyon shaayad
Kuchh toh mere khwaab aaj bhi rahenge humaare re hi 

No comments:

Post a Comment