Saturday, July 21, 2012

Afsos ki baat hai yeh...

A Keyrun Rao Original...



Izzatein lut jaati hain, kiraane ki dukaan par
Kisiko toh aaj hi udhaar waapas chaahiye,
Koi hai taiyaar, ghar aakar wasool karne ko
Koi rok leta hai humein jhopdi ki hi raah par

Afsos ki baat hai yeh, ke aaj bhi zinda hain
Kab ke marr chuke they, dafan ho gaye they
Galti jaane kya hui humse, koi toh bata do ab
Hum toh aaj bhi bas utne hi sharminda hain

Ek kahaani thi humaare paas, kaise bhi keh dete
Kuchh aansoo bahaate, thoda sa hum seh bhi lete
Kabhi toh tum pari thi, aaj baat kuchh badli hui hai
Thodi khushiyaan tumse paate, gham bhi aaj seh lete

Afsos ki baat hai yeh...ke tum khush ho jaane kahin
Hum tumko dhoondh rahe hain aaj bhi yahin kahin
Tumne toh khuda paa liya, hum aaj bhi khojte hain
Aasmaan tak jaayein, ya phir khod le banjar zameen

Ek sher tum padho, ek main bhi suna hi deta hoon
Akele hain hum, khabar yeh toh hai mujhko bhi
Thoda tum ji lo, apni yeh raahein aaj suljha bhi lo
Ek baar yun milo mujhse, karo jo main chahoon


Afsos ki baat hai yeh...ke hum aaj bhi lagey paraaye
Dhadakte toh sang hain, par duur hi hain yeh saaye
Kuchh kadam ab tum chalo, aur kuchh hum badhein
Kaise bhi padh lo isey, humein saath mein kaun laaye

No comments:

Post a Comment