Wednesday, March 7, 2012

Aansuon ne sab mita diya...

A Keyrun Rao original



Sab yahin tha, kuchh bhi duur nahin
Tu nahin hai to kya, zara bata mujhe
Teri yaadein aur teri pyaari baatein
Aaj bhi jeeti hai, mujh mein hi kahin

Socha ki maine sab kuchh bhula diya
Meri aansuon ne saara dard mita diya
Yun soch ke pal woh maine bita diya
Sochta hoon aksar tune aisa kyun kiya

Badal gaya sab kuchh mera tere jaate hi
Phir bhi sab waisa hi hai teri khaatir hi
Poora nahin toote hain, mehak ab bhi hai
Dobara jee bhi lenge, tere waapas aate hi


Socha ki maine sab kuchh bhula diya
Meri aansuon ne saara dard mita diya
Khud ko kuchh pal aur yun behlaa liya
Kyun maine apne saath ye mazaak kiya

Raaste badle, manzilein bhi dhoondh li
Phir kyun mujhe bas tu hi dikhaayi di
Zindagi se pyaar hai, par maut chun li  
Bataa ae khuda, sazaa mujhe kyun di


Socha ki maine sab kuchh bhula diya
Meri aansuon ne saara dard mita diya
Maine kuchh bura to zaroor hi hai kiya
Bin tere kaise rahoonga main oh piya


Sunday, March 4, 2012

Kya daud lagaayi...

A Keyrun Rao Original, dedicated to Tigmanshu Dhulia's film, Paan Singh Tomar and Irrfan Khan.

Bhaagte sab hain, wo akela dauda tha
Bhind ki shaan, ek baawla modha tha
Zindagi ki kya baat karein uski hum 
Usne maut ko bhi peeche chhoda tha

Wo apne rishton ke liye daudta raha
Phir bhi aakhir mein tanha kyun raha?
Finishing line pe nazar thi uski shayad
Aakhir mein kuchh bhi baaqi na raha

Aasmaan ko jisne chooma tha kabhi
Uska khoon mitti mein jam ke rah gaya
Taare rehte they jin aankhon mein kabhi
Un mein kaala ghana andhera reh gaya

Kya daud lagayi tumne Paan Singh Tomar
Itihaas ke pannon mein rahoge ajar amar
Tumhaari kahaani sun ke bada bura laga
Insaaf milega tumhe toh us Khuda ke ghar

Thursday, March 1, 2012

Ek khwaab ki tarah...

A Keyrun Rao Original...

Jaise baadal koi takraaya ho yun pahaad se,
Ya shaayad Khuda mila gaya ho faqeer se
Jaise sardi mein kahin rehti dhoop ke jaise
Kya kahoon mujh mein toh tu hi hai waise

Ek khwaab ki tarah jeeti hai, kho jaati hai
Kisi dua ki tarah milti hai, tham bhi jaati hai
Aayat ki tarah, jaane kaise raas bhi aati hai
Mausam ki tarah woh chali bhi toh jaati hai

Jaise dua ho kisi faqir ki ya jaane kuchh aur
Kuchh toh ab bhi kehte hain guzar gaya daur
Dard to aaj bhi mujh mein utha hai waisa hi
Kya bas chuka hai tere bhi dil mein koi aur?

Chaand ki tarah milti hai, chhup bhi jaati hai
Aasmaani chaadaron mein, rehti kahaan hai?
Chal do baatein karein, dhadkanein baant lein
Bas itna bata de, tera woh jahaan kahaan hai?

Ek khwaab ke jaise mehakti hai, kho jaati hai
Paas aakar bhi jaane kahaan wo chali jaati hai
Khushboo ki tarah, rooh mein wo bhar jaati hai
Saaye ki tarah humein har pal wo yaad aati hai

Jaise khat ho puraana aur woh sandesa yaad hai
Kuchh to ab tum bhi likh dete, bahaana aur hi hai
Suqoon nahin mila mujhe, wo zakhm toh aur hai
Mera is qadar rona, baat saali kuchh aur hi hai