Friday, August 27, 2010

Soti jagti aankhon mein...

A Keyrun Rao original

Mila bhi na tumhe, jaana bhi nahin,
Tab se mohabbat is qadar ho gayi hai
Shayad kabhi keh bhi na paaoonga main
Itni zyaada tumse mohabbat ho gayi hai

Teri saansein ginta, saaye mein chalta
Madhosh meri ye haalat rehti hai yun
Chalte hue kahin tu aise mil jaaye
Honton pe mere yehi ek dua rehti hai

Tere milne pe dhadkanein ruk jati hain
Tu jo na ho to saansein theharti hain
Raat din mere zehan mein tu basti hai
Kya tu kahin aasmaanon mein rehti hai?

Soti jagti pyasi in aankhon mein meri
Tere rehte jannat ki tasveer umadti hai
Chaahe jitna bhai dabaana chahoon main
Zyaada aur zyaada mohabbat rehti hai...

Ek arsaa guzar gayaa...

A Keyrun Rao Original

Nam tumhari ankhon mein khushi ki guzarish thi
Nakli muskan mein chhupi sailaab si tanhaai thi
Badlenge sab, khaai thi kasam ye maine khud se
Kaise palak jhapakte dekho ek arsaa guzar gaya

Pehle muskaai tum, sapna sa kyun mujhe tha laga?
Juda sa tu tha magar phir bhi apna sa kyun laga?
Saath tere jeet lenge aasmaan ek iraada kar liya
Ek dhadkan mein dekho ek arsaa yunhi guzar gaya

Samjhate rahe khud ko ke apne jahaan alag hain
Ke tu chamakta hua tara hai aur zarr.ra hun main
Jo mere liye abr hai, tere liye khaak sa hi hai
Bijli thi jaise koi, dekho ek arsaa guzar gaya

Intezar karenge hum, kahin to milogi mujhe tum
Aisa ek to kabhi aayega pyaara sa koi mausam
Na to mausam hi badla, no hi tum ya phir hum
Sapna tha koi shaayad, dekho ek arsaa guzar gaya

Bas yaad hi mein aati ho, jaane kahan bas gayi
hamari to maano zindagi hi samjho thehar gayi
Haalat maana itni bhi nahin hui buri hamari
Dua thi shayad, jeete hue, ek arsaa guzar gaya

Wednesday, August 18, 2010

Jo khud dua ho...

A Keyrun Rao Original

Jo khud dua ho auron ke liye
Usey koi kya kaise dua dega?
Jis roshni se duniya hairan ho
Us suraj ko diya kaun dikhayega?

Unki kahani se badale zindagi hai
Alfazon se muskaanein khilti hai
Kabhi aansoo chhalakte hain yun
Jaise khaufnaak koi sailaab aayega

Ek rishta ban jaata hai unke likhe
Nek aur kaminey se kirdaron mein
Ek naata sa jud jaata hai unke kahe
Lafzon ke chamakte motiyon ki dor se

Safed unki poshaakh mein ubharti hai
Bachchon si pak unki ruh hai bemisal
Dua rehti hai humare labon pe hamesha
Ki wo jiyein kayeen saare hazaron saal

Unke saadgi ki kya baat karein hum
Soch kar aankhein ho jaati hain nam
Ek zarra bhi un jaisa ban jaayein to
Afsos na hoga gar zindagi ho khatam...

Monday, August 16, 2010

Tanhaai...

A Keyrun Rao Original

Dariya jakadne chale they, ret bhi haath na aayi,
Tujhse duur rehkar humein, jannat raas naa aayi,
Saaye ka peechha karte hain, jab tu paas na aayi,
Kaise bataoon tujhe, kitni qatil hai ye tanhaai.

Jataayi nahin tune, teri qeemat hi samajh na aayi,
Karein bhi to kya ae haseen, gehri chot hai khayi,
Kabhi shiqayat to karti, jaane kitne ashq bahaayi,
Der ho gayi bahut shayad, kuchalti hai roz tanhaai.

Taraste hain teri muskan ko, ye kaisi aag lagaayi,
Teri ansuon ke gunahgaar, dil se fariyaad lagaayi,
Tere rehte khushiyaan thi, kaise bardasht ho judai,
Bheed mein tanha reh gaye, zinda jalaaye ye tanhaai.

Hum saath honge phir, dil ne bas ye ek aas lagaayi,
Yehi tamanna hai meri ab, bas itni si hai duhaai,
Dhadkanon mein to basi hai, saansein dengi gawaahi,
Aaja laut ke meri jaan, tanhaai hai meri tabaahi.

Tuesday, August 10, 2010

Pyaar sa mehsoos hua...

A Keyrun Rao original

Wo kuchh aise muskuraaye dekh kar mujhe
Itna ajnabi sa ho kar bhi mera yaar hua
Baahon mein bhar liya kuchh is qadar ki
Bhoola gham saare aisa to pehli baar hua
Simte der talak chalti rukti sanson mein
Samajh nahin paaye, pyaar sa mehsoos hua

Jo wo na muskuraate, kya itne paas aate?
Pyaara khwaab dekhne se pehle jaag jaate
Sach ho kar jhooth kyun mujhe ye lagta hai?
Itni jald itne paas, bada achcha lagta hai
Sachchai thi wo janasheen baaton mein uski
Baukhlaaye to the par pyaar sa mehsoos hua

Jaate hue baahon mein bhar loon mera dil kiya
Unki nam aankhon ne humein aur majboor kiya
Phir milenge keh kar khuda haafiz to keh diya
Jaante the nahin milenge, muskaan udhaar le liya
Kuchh rishte hote hi hain khatam hone ke liye
Achchi tarah jaante hue bhi pyaar sa mehsoos hua