Saturday, July 7, 2012

Kahaaniyaan hain kuchh...



A Keyrun Rao Original

Dher lagi padi hai kahaaniyon ki
Kuchh suney, thodey unkahey bhi
Kisi mein khushi hai, thode aansoo
Koi kahey ishq ki, koi ek maut ki,


Kahaaniyaan hain kuchh, ajeeb sey
Kab kahoon, poochh loon naseeb se



Aashiqui kyon aaj ek si nahin hoti
Ek sharaab mein hai ab dooba hua,
Woh jaane aaj bhi kyon nahin roti
Khwaab hai, par chain se nahin soti



Kahaaniyaan hain kuchh, ajeeb se
Kaise kahoon, poochh loon rab se

Sab badal raha hai, pehchaane kaise?
Us muskan mein itni salwatein hain ab
Rooh marr chala hai, itna ghayal hai
Bas ab marham ki talaash hai besabab

Kahaaniyaan hain kuchh, ajeeb se
Kab kahoon, poochh loon naseeb se

Ghaanv taaza hai, lahoo kab sookhey?
Itna bata bas kaise ab tujhe bhoolein
Har pal yaad hai, teri wo saari baatein
Chali ja kahin ab, sooni kar de raatein!

Kahaaniyaan hain kuchh, ajeeb se
Kab kahoon, poochh loon aaj sab se...

No comments:

Post a Comment