Saturday, September 25, 2010

Twitter pe shayari - under the influence

Keyrun Rao Originals

akele kahan hain, teri khushboo, teri adaa rooh mein liye chalte hain, kabhi shama ki tarah jalte hain, kabhi barf ki tarah pighalte hain.

maana manzil nahin, humsafar to ban sakte ho, yaar nahin sahi, ajnabee ban ke kuchh kadam saath chal sakte ho?

teri muskaan nazron mein ab bhi goonjti hai, teri mohabbat humpe ab bhi barasti hai, hum yahin hain, tu ab kiske dhadkan mein basti hai?

kaun samjha hai ishq ko, jo main tumhe kuchh bataoon, nashe ki tarah hai kuchh, bina soche bas doobta jaaoon.

kyon teri chahat ab tak dhali nahin hai, itni aashiqui theek nahin hai, chali gayi akela karke humein, ummeed meri bujhi nahin hai.

sookhe phool to kitaabon mein shayad mil sakte hain, aap to yun juda hue, lagta hai saaye bhi badan se duur ho sakte hain

bhool hi jaao humein, bahut asaan hai, hum bhoolein tumhein, soch ke bhi jaati meri ye jaan hai.

phir ek baar marna chahta hoon, ishq gehra kitna hai, jaan na chahta hoon, wo to jee gayi jaan meri, main fanaa hona chahta hoon.

phir milenge nayi jagah mein, jahan tum suqoon mein, aur mein aggan mein, jahan main taara aur tum bhi gagan mein.

tune jaane kya samjha mere ishq ko, sabko gazab sa lagta hai, tere bina har shab aur subah saala ek sa lagta hai!

yaad aaya mujhe, uske liye main zarrra bas, kaise boloon kitna uske liya raha hoon taras. gandi shayari hogi, wanna meet her bas...

Wednesday, September 1, 2010

Aise hi tanha akele...

A Keyrun Rao Original

Pyaar khareedna sasta lagta hai
Rishton mein yun dum ghut-ta hai
Kaise yaqeen maane yaaron ka hum
Har koi shaitaan sa lagta hai
Chhod do mujhe mere haal par
Jee loonga aise hi tanha akele

Chalte hue palatke nahi dekhta ab
Is veerane min sukoon hai besabab
Apne saaye se baatein karta hoon
Pasand hai mujhe, koi afsos nahin
Jee loonga aise hi tanha akele

Yunhi kabhi yaad kar leta hoon
Kuchh pal jo the bahut hi pyaare
Dard nahin hota thoda bhi sach
Masoom si muskaan aa jaati hai
Talash nahin hai kisi ki kahin
Jee loonga aise hi tanha akele