Sunday, July 8, 2012

Yeh khayaal aaya hai...

A Keyrun Rao original



Koi shor toh nahin, na koi baat hai,
Ek ajnabi se aaj meri mulaqaat hai,
Teri dhadkan suni, muskaan padhi,
Lagta hai jaise aaj hi jumme raat hai.

Yeh khayaal hai, manzilein juda hain,
Saahil par jo mil bhi jaayein to kya hai,
Kuchh shaamein aur yeh thodi raat hai
Jawaab itne saare, kuchh sawalaat hain.

Aaj hum bhi jiyein, tum zaraa muskura do
Jannaton jaisi koi meethi si apni baat ho,
Raat toh dhal jaayegi, yun hi phir bin tere
Meri us sawaal ka aaj toh tum jawab do.

Yeh khayaal hai, ke tu kuchh aur hi hai,
Sawaalon mein chhupa mera jawaab hai,
Mil ja kuchh aise, mujh mein tu is tarah,
Jaise toofaani sa koi sarfira sailaab hai

Chal bikharte hain, aaj phir se milte hain,
Yun mil ja mujhe, jab taare chamakte hain,
Aaj teri yeh kahaani main bhi toh sun loon,
Dard ke kuchh panne chal saath padhte hain

Yeh khayaal aaya, apne zakhm bhi gahre hain
Na toh tum aaj akeli ho, na hum bhi sehme hain
Baras ja aaj kuchh is tarah, tu meri khudi mein,
Na tu tanha hai, na toh hum bhi aaj akele hain....

No comments:

Post a Comment