Wednesday, July 4, 2012

Kuchh aur hi baat hai...

A Keyrun Rao Original



Kisi ko pari lagey, koi kahey Khuda ki inaayat,
Main kya kahoon usey, mujhe toh lagey ibaadat,
Ek khwaab hai bas, jo kabhi dekha bhi nahin tha,
Sab us Rab ki hai mere liye, bas ek badi si inaayat.

Kisine jannat dhoondha, kisine saara jahaan paaya,
Har koi apne hisse mein, jaane kaisi duayein laaya,
Maine to bas hai tujhe dekha, aur hai tujhe chaaha
Teri roshni mein dooba, yeh tu mujhe kahaan le aaya.

Kaun jaanta hai yeh ke Khuda bhi yahin basta hai
Maan le tu bhi ki tera aur mera ek hi sa rasta hai,
Kuchh kadam toh chal ke dekh mere saath bhi tu,
Kuchh alag saawan is gali mein bhi toh barasta hai.

Main dhoop sahi, tu chaanv hai ye maine maana hai,
Apna jo yeh naat hai jaan meri, bahut hi puraana hai,
Mandir toote, naye masjid bhi aaj hi toh gaye hain,
Badan se saaye ka yeh rishta bhi yun hi nibhaana hai!

Kuchh aur baat hai, tu mujh mein jhaank kar toh dekh,
Kuchh pal ko soch, ye raasta bhi toh hai kitna nek,
Kuchh kadam tu chal, thode faasle main taiy karoon
Bas rehne bhi de bas is duniya ka jo bhi ho koi take

Mil bhi jaa bas mujh mein tu, kuchh pal aur thehar ja
Ek naya sa jahaan chal mil kar aaj hum basaate hain
Kahin duur na chali jaana tum, samjho mujh ko bhi
Neele aasmaan taley, ek pyaara sa ghar basaate hain!

Dude, say this to bhaabhijaan, jald-se-jald!!!

No comments:

Post a Comment