Showing posts with label love song. Show all posts
Showing posts with label love song. Show all posts

Monday, February 16, 2015

Aaj sab se zyaada khush hoon main...

A Keyrun Rao original














Maut ke niwaale khaaye bahut,
Zindagi se parhez karta raha,
Ishq ke ghoont tujh se miley they,
Bas zehar ki talaash karta raha.

Rooh mein andhera bhar gaya tha,
Saanson mein meri ghutan si thi,
Raahein bhi chalne nahin deti thi,
Soch par bhi mere gehra saaya tha.

Aaj sab se zyaada khush hoon main,
Aansoo bhi ab khushi ke aate hain,
Ek teri noor mein roshan rehta hoon,
Aaj-kal khwaab bhi achche aate hain.

Aaj sab se zyaada khush hoon main,
Teri raah mein mohabbat ki goonj hai,
Teri lafzon mein mere ishq ki azaan hai,
Lagta hai ke naya ek banda hoon main.

Aaj sab se zyaada khush hoon main,
Lagta hai shayad meri nazar lag jaayegi,
Teri hansi mein meri muskaan rehti hai,
Tere saath meri ye umr bhi nikal jaayegi.

Maut ke niwaalon mein swaad nahin tha,
Zindagi bhi kuchh kuchh bujhi si thi meri,    
Tere saath mujhko bhi main raas aa gaya,
Marne waale ko zindagi ka swaad aa gaya.


Sunday, November 16, 2014

Dost bahut hain mere aaj...

















A Keyrun Rao original...

Jab chhota tha, toh main akela rehta tha,
Sach mein koi dost hi nahin tha mera;
Shayad main achcha tha ya woh burey,
Ab toh pata bhi nahin kya chal raha tha...

Barson lag gaye mujhe ek dost banane mein,
Ek gaana tha bechaara, kisi ne suna nahin tha;
Ek kitaab bhi thi, sharmeeli aur murjhaayi si,
Ye donon dost baste hain aaj bhi dil mere mein.

Lagta hai dost bahut hain mere aaj sab jagah,
Woh toh aisa hi samajhte hain hamesha se;
Kya main bhi un ka dost hoon, kaun jaane?
Kitaabon aur gaanon se yaari hai ab is tarah.

Raah chalte koi naam pukaarta hai mera,
Kehta hai wo jaanta hai mujhko achche se;
Na toh main usey jaanta hoon, na khud ko,
Khush hua jab mila us ajnabi ko achche se.

Ek gaana tha, aur ek kitaab thi mere paas,
Duur tak saath they mere, koi sawaal nahin;
Thodi khushi, kuchh aansoo saath baantein,
Phir bhi aaj tak koi bandish ya khalish nahin.

Ek khushboo chal padi mere saath raah mein,
Kehte hain Rani hai us jaadugarni ka naam;
Dard ke kissey bahut peechhey reh gaye ab,
Bas usey khoob pyaar karna hai ab mera kaam.


Saturday, October 11, 2014

Sabse chheen loon tujhe

A Keyrun Rao original

























Saath hue jab se hum
bas ek manant hai meri,
Sabse chheen loon tujhe
Main hamesha ke liye,
bas meri ho kar reh
Itni bhar bas dua hai meri

Tere saaye sang baat karoon,
Teri hansi ke sang naachoon,
Chaahe chali ja kahin bhi tu
Tujh sang bitaaye huye pal
Har pal main wahi sochoon.

Duur lagta nahin hai tu mujh se
Jaane kahin bhi tu chali jaaye
Tujh mein hi rehta hoon main
Yeh raaz jaane chhupega tujh se

Teri rooh pehan kar mujhe neend aati hai
Teri baatein dohraata rehta hoon main
Yaar tu jiye hazaar saal mujhse zyaada
Aisi mohabbat zindagi mein kam hoti hai

Sabse chheen loon tujhe
Tujhse tujhko duur kar doon
Mujh mein mil ja dua ban kar
Tera saaya bhi tujhse chura loon 

Wednesday, August 13, 2014

Ek khwaab maara kal...














A Keyrun Rao original

Ek khwaab maara kal,
Toh thodi si zindagi jaagi,
Bujhi hui saans se meri
Prem ki nayi dhun laagi.

Fateh ka shauq raha nahin
Sab aur dhadkanein bhaagi
Jab haar diya tha sab maine
Prem ki ek nayi dhun laagi.

Ek dost maine maara kal,
Nafrat mein mohabbat jaagi,
Thandi padi uski laash mein
Bas akela roya main abhaagi

Yaari ka shauq ab raha nahin
Dekh li maine sab duniyadaari
Kandhon par laashein uthti hain
Us laash se hain aansuein bhaari

Ek muskaan maine maara kal,
Un honton par dehshat si jaagi
Marr gaya maarta hua wo qaatil
Poori soyi thodi aankhein jaagi…

Bahut hans liya aisa lagta tha
Kitna jiya tha, dil sulagta tha
Qatl kar ke dil halka hua mera
Us pal se sab ujaala lagta tha...


Sunday, July 20, 2014

Dhuein se rishtey ab nahin hain...

A Keyrun Rao original













Baadalon sa dhuaan chhaaya hua tha
Us pyaar se woh ghabraaya hua tha
Sach bann ke barsa wo baadal us pe
Us din woh akela ghabraya sa hua tha

Pyaar ke mausam se dara hua wo pyaasa
Lahu se gaadhe aansoo baha raha tha
Ishq ki garmi bhi thandi ho chali thi ab
Dard mein ab aasraa paana chaahta tha

Dhuein se rishtey toh ab rahey nahin hain
Uske sapne aag mein jal rahey nahin hain
Hansne ka ab bada mann karta hai uska
Apne maut se bhi usko koi darr nahin hai

Chaandni mein dhula rishta badal gaya usko
Gehrey andheron ne barson paala tha jisko
Aaj khush hai, bewakoofon si muskaan hai
Har kisi ne hamesha hi tha thukraaya jisko

Wo badnaseeb ek nayi ghazal likh raha hai
Apne liye wo ek naya khwaab dekh raha hai
Aaj phir uski band aankhon ko tum na kholo
Nayi ek raah par woh banjaara chal raha hai

Dhuein se rishtey toh ab rahey nahin hain
Us ke sapne to aaj nikhar-sawar gaye hain
Ek baar phir aaj hansna-muskaana hai usko,
Uski bas khwaabon si zindagi bachi hai...

Monday, December 16, 2013

Raaste bahut achchey hain...

























A Keyrun Rao original…

Koi dariya mein kyon doobega
Ke jab saahil hi itna pyaara ho
Koi poori azaan kyon suneyga
Ke jab woh hi mera kinaara ho

Raaste bahut achchey hain mere
Manzil ki jaane kisey hai parwaah
Andhere hain mere pairon mein
Yeh kaisi chuni hai maine yeh raah

Kuchh ajnabi aaj mere yaar ho gaye
Thodey se tanha yeh bazaar ho gaye
Anjaani si pyaas ho chali hai toh kya
Lagta hai jaisey hum aaj tere ho gaye

Raaste toh bahut achchey hain mere
Manzil ki jaane kisey hai parwaah
Teri mohabbat ko kya naam doon main
Phir sey hua hoon main aaj gumraah

Teri tarah kho jaata hoon main bhi
Kya main karoon kisi ko ab fariyaad
Lambi raatein reh gayi hain ab toh
Tera pyaar hai bas mujhe kyon yaad

Raaste toh bahut achchey hain mere
Manzil ki jaane kisey hai parwaah
Lamha toota hua ho mera toh kya
Mujhko toh chalni hai teri hi ek raah

Ek saans le, mujh mein aaj tu kho ja
Reh ja mujh mein, kahin ab bas ja
Banjaara hoon main tere qafiley ka
Aaj toh thodi der bas tu hi thehar ja

Raaste toh bahut achchey hain mere
Manzil ki jaane kisey hai parwaah
Bina tere jee raha hoon main tanhaa
Dikha de ab tu hi mujhe ek nayi raah

(Dedicated to Imtiaz Ali's latest film… )


 



Friday, November 15, 2013

Ek panna phaad ke phenk dete hain...
















A Keyrun Rao original...

Bas tere liye maine thode qatl kiye
Kuchh lamhe tere liye main jiya
Thoda main tere liye marr gaya
Chand lamhon ko maine maaf kiya

Ek panna phaad ke phenk dete hain
Kya jaane us mein tera bhi kya hua
Hua jo bhi Khuda ne chaaha hoga
Kya tera hua, na jaane kya mera hua

Ek panna toh hai tere-mere beech mein
Thodi shayari maine bhi likhi hui hogi
Kuchh qalaam tere bhi toh rahey hongey
Tujhe mein-mujh mein koi baat rahi hogi

Aao chalo baantein hum kuchh shayariyaan
Tumne bhi ek dastak mujhe kabhi toh di hogi
Muskaan na sahi, chalo aansoo maan loonga
Meri zindagi mein hone ka keemat kya logi?

Bas tere liye maine thode qatl kar diiye
Kuchh lamhe tere liye main ji bhi liya
Tanhaai ke un banjar lamhon mein
Ek tu ne mujhe ek gehra sa saans diya

Ek panna phaad ke phenk dete hain
Kya jaane us mein tera bhi kya hua
Simat bhi ja meri saanson mein ab tu
Kya jaane is zindagi ka ab kya hua




Saturday, November 9, 2013

A slit in my heart

















A Keyrun Rao original

I never really knew what it was to share a meal
Could you please tell me what's the big deal?
I never knew that coffee could smell so special
Tell me what other ailments can it really heal?

When the train left the station, I cried for a while
Without you beside me dunno how can I smile
Come back before I do something so really silly
For you I am gonna walk a few thousand miles

Wish to live so that I can hold you in my arms,
Make you go aww & feel that you were mine
I belong to you just as much as a rose to thorns
When you are around, I have always felt fine

Coming back in a heartbeat is a thing that they say
But I just know that you'll just be too far-far away
I can't wait to see you run back into my longing arms
I can only say for sure that it will be a very happy day

You gave a slit in my heart that I never really wanted
A pain in my soul that I could have ever really managed
You left me when all I really wanted was only you
Tonight here I am left alone just feeling really damaged


Coming back in a heartbeat is a thing that they say
But I just know that you'll just be too far-far away
I only wish to cuddle up, kiss you and be close to you
I don't care if it is really a night or a bloody shiny day!


Sunday, September 29, 2013

Aaj bus Old Monk rum hai...

























A Keyrun Rao original

Neendon mein ab khwaab kam hai
Meri ye aankhein phir aaj nam hai
Nasha chadh gaya tere pyaar ka ab
Jaane mujhe kis baat ka gham hai

Ye saali aadat jaane kab chhootegi
Gehri neend ye meri kab tootegi?
Tere saath ki shayad ab lat lag gayi
Jaane tu bhi mujhse kab roothegi?

Ek jaam tere naam ka maine piya
Tere ishq mein kuchh aur din jiya
Mere dil ki daulat mujhko lauta kar
Mujhpe ye mehsaan jaane kyon kiya

Zindagi ka ek gehra kash lagaaya
Tumne mujhe phir se jeena sikhaaya
Aise na jaa mujhe chhod ke tanha
Mera aks bhi toh tune mujhe dikhaaya

Aaj bus Old Monk rum hai saath mere
Tu ab na jaane kahaan kho gayi hai
Nasha toh hai tere pyaar ka mujh par
Lagta hai tu kisi aur ki hi ho gayi hai

Phir mil ja chaahe kisi khwaab mein hi
Ya mere dhundhle koi saaye mein hi
Bas duur na ja tu ab mujhe chhod ke
Rooh bhi tera hai ab mujh mein kahin
 
  

Saturday, September 28, 2013

Dil ka ek kona raushan nahin hota...

A Keyrun Rao original,  just for Rani...














Jo tum na hoti, toh main kya hota
Bina tere main na jaane kya hota
Muskaana toh bada aasaan kaam hai
Andhere mein khoon ke aansoo rota

Tere bina yeh kuchh bhi na hota
Dil ka ek kona raushan nahin hota

Rota hua dekha hai tumne mujhe
Meri khushi tumne mujhe lautayi hai
Banjar si meri is veeraan duniya mein
Tum ne itni saari khush-haali laayi hai

Tere bina yeh kuchh bhi na hota
Dil ka ek kona raushan nahin hota

Tanha rehna toh seekh gaya tha par
Mujhe kuchh achcha nahin lagta tha
Teri nazar se maine dekha khud ko
Ganda mazaak sab kuchh lagta tha

Tere bina yeh kuchh bhi na hota
Dil ka ek kona raushan nahin hota

Ab mujhe bas teri hi ek talab hai
Aaj main yahaan hoon tanha-akela
Ghut raha hoon teri yaadon mein
Tu na jaane kahaan aur kidhar hai
Tere bina yeh kuchh bhi na hota
Dil ka ek kona raushan nahin hota

Bas ek tera intezaar hai mujhko har pal
Phir tujhko chhoo loon mujhe ye aas hai
Aaj toh dariya bhi nigal jaaoonga main
Teri mujhko kyon aaj itni badi pyaas hai 

Tere bina yeh kuchh bhi na hota
Dil ka ek kona raushan nahin hota...


Monday, September 9, 2013

Mohabbat ke rang hote hain?


A Keyrun Rao original



















Mohabbat ke rang hote hain
Maine tere sang dekhe hain

Khushi ka ek meetha rang
Teri hansi mein dekha hai
Judaai ka gehra laal rang
Tere aansu mein dekha hai

Ek khaara rang gusse ka
Nigalna mushkil hota hai
Saanwla rang aankhon mein
Jalte-bujjhte bhi dekha hai

Mohabbat ke rang hote hain
Maine tere sang dekhe hain

Tera mere saath hone ka
Ek neele aasmaani sa rang
Tujh se khafa ho jaane par
Gehri andheri raat ka rang

Meethi gulaab pankhudi si
Tere pyaare labon ka rang
 Billi ki bhoori aankhon si
Tere galey par til ka rang


Mohabbat ke rang hote hain
Maine tere sang dekhe hain

Monday, September 2, 2013

Khulkar hanste dekha toh jaana
















A Keyrun Rao original

Kaun kehta hai mujhko deewana
Tujhse milkar maine yeh jaana
Hansne ki wajah kaun maange
Koi bataao itna kaun hai siyaana

Khulkar hanste dekha tujhe toh jaana
Itna bura bhi nahin hai ye zamaana

Hanskar toh dekho tum bhi zor se
Aise dost toh milte hain naseeb se
Humraaz kaise banogey tum huzoor
Uski khushi toh dekho tum kareeb se

Rona toh khatam hota nahin kisika
Aaj kisi ko hanste hue bhi dekh lo
Marte ko rehne bhi do qabr mein
Kisi jeete ko muskuraate bhi dekh lo

Khulkar hanste dekha tujhe toh jaana
Itna bura bhi nahin hai ye zamaana

Hansna toh ek daen hai us khuda ka
Roney mein kya rakha hai bataao
Chaand mein tumko paaya hai maine
Taaron ka kya hai yeh hi samjhaao

Kaun kehta hai mujhko deewana
Tujhse milkar hai maine yeh jaana
Jab bhi tujhko hansta hua paata hoon
Mera har gham ban jaata hai begaana

Khulkar hanste dekha tujhe toh jaana
Itna bura bhi nahin hai ye zamaana
Khuda toh tere labon par rehta hai
Yeh baaqi saara ab kya hai fasaana?




Monday, August 26, 2013

Mujh se mila diya...
















A Keyrun Rao original

Bewajah sa hi tha mera sab kuchh
Saansein lena, kishton mein jeena
Paise kamaana, aur kharch ho jaana
Jaane kyon dhadakta tha dil kameena

Teri muskaan mein kuchh mil gaya
Teri aankhon mein sab kho bhi diya
Mujh se mila diya aaj tumne mujhko
Kaise is aks se mujhe tumne mila diya

Kuchh samajhta nahin tha tujhse pehle
Khushi ki khushi nahin, gham bhi nahin
Bas dil dhadakta rehta tha mera har pal
Kambakht wo rukta tha jaane kyon nahin

Anjaana sa akelapan rehta tha mujh mein
Ishq bhi ho chala tha mujhko us tanhaai se
Ab kyon akele mujhse raha hi nahin jaata
Jaise ab bhi tujhko kehna hai kuchh mujh se

Dard chala gaya, zakhm saare bhar gaye ab
Ab toh yaad bhi nahin hai mujhko kuchh bhi
Tere pyaar mein chhupa hua khush hoon
Mera kal mera nahin hai, aaj se toh sab tera hi

Mujh se mila diya aaj tumne mujhko
Jaise kisi ne marte hue ko di ho koi dua
Tujh se milkar ab main itna khush hoon
Ke sab se milkar bhi aaj hi main poora hua

Tere aane ka intezaar rehta hai mujhko bas
Main tujhe kuchh ghadi bhar aur dekh loon
Tere saath mein jee loon main jee bhar kar
Mil jaaye mujh ko bhi bas itna sa hi sukoon

Mujh se mila diya aaj tumne mujhko
Laga ke main jaanta hoon us shaqs ko
Khushi mujh se bhi mili thi kya kabhi
Woh kahaani sunaaoonga main tujhko  

  

Naachne ka mann karta hai...

























A Keyrun Rao original

Itna khush rehta hoon aaj-kal
Jaise lottery lag gayi ho meri
Paagal samajhte hain mujhko
Ki khopdi satak gayi ho meri

Naachne ka mann karta hai ab
Naachna aaye nahin toh kya
Gaane ka mann karta hai ab
Gaana aaye nahin toh bhi kya

Sab kuchh keh deta hoon usko
Kuchh rehta nahin is dil mein
Woh bhi sab kuchh bak deti hai
Milte hi mujhe ek hi saans mein

Ajeeb sa lagta hoon naachta hua
Par ab mujhe koi parwaah nahin
Pagalon sa muskaata rehta hoon
Mera shayad ab koi ilaaj hi nahin

Jalebi ka tukda nigla ho jaise maine
Ya chaand pe kavita likh liya jaise
Tujh se milkar sanwar gaya hoon
Main toh kabhi nahin tha kuchh aise


Naachne ka mann karta hai ab
Ab toh mujhe koi bhi na roko
Pyaar ho chala hai bada gehra
Is raah par mujhe ab tum na toko

Sunday, August 11, 2013

Tujhko kuchh pal sotey dekha...


















A Keyrun Rao original

Kya khwaab mein mili thi tum mujhe
Ya raah par takra gaye they hum
Kaise  dhoondha tha maine tumhe
Jaane kis dagar chal pade they hum

Tujhko kuchh pal sotey dekha maine
Tujh mein kuchh apna sa dekha maine
Teri aankhon mein khwaab they mere
Dhadkan meri mujhe lagi thi kehney

Teri khwaab mein aaj jee kar dekha
Teri muskaan mein khud ko senka
Tere aansuon ko chakh kar dekha
Teri hansi ka chaadar bhi sameta


Tujhko kuchh pal sotey dekha
Tujh bin lagta sab kuchh dhokha
Tujh mein sab kuchh paatey dekha
Bas ek tu hi hai mera yaar anokha

Tujhko maine jagaana bhi chaaha
Meri kya hai tu bataana chaaha
Tu toh so chuki thi gehri neend
Teri saans ko bas sulgaana chaaha


Tujhko kuchh pal maine sotey dekha
Tujh mein kuchh apna sa hi dekha
Teri dhadkan mein main dhadak gaya
Ek teri ore main aakar chamak gaya


Sunday, July 28, 2013

Saaya kisika...














A Keyrun Rao original

Ajnabi sa ek saaya kisi ka
Aaj toot kar gira mujh par
Bada pyaara sa tha toh
Jaane rootha tha kis par

Beeti saari yaadein liye
Jala tha kyon mujh par
Jab bujhi saari yaadein
Ro pada woh mujh par

Roya kuchh main bhi tha
Thodi royi thi woh bhi
Aankhein sooji hui thi
Dard bhi gehra sa toh tha

Us rishte ka saaya tha purana
Zakhm gehra sa tha woh
Aur hans raha tha zamaana
Mushkil tha us yaad ko bhulana

Ajnabi sa ek saaya kisi ka
Aaj toot kar gira mujh par
Kahaani puraani ho chali hai
Chalna hai phir wahi dagar par

Ek rishta dhuan ho gaya toh kya
Naye rishte ki bhi apni jalan hai
Bikhar gaye hum tab toh kya
Ab humein na koi bhi darr hai!

Duniya badal gayi saali













A Keyrun Rao original

Waqt toh aata hai sabhi ka
Aansoo rehte nahin sab din
Muskaan kab tak rehti duur
Khil gaya main bhi aaj ke din

Raet mein neele paani ke jaise
Dikhi tum mujh ko raah mein
Ab bheeg gaya ishq mein tere
Samandar hai tere pyaar mein

Meri duniya badal gayi saali
Andhere mein ho gayi Diwali
Pataakhe phoote mere dil mein
Meri dhadkanein ab bajaaye taali

Chaand mein kyon suraj dikhta hai
Mere sher bhi ab kya tu likhta hai
Teri tareefon ke liye lafz banata hoon
Kyon mujh par ek tu hi chhayi si hai

Har jagah mujhe phool dikhte hain
Manzilein tujh pe aakar rukti hain
Teri raah ka banjaara ban gaya hoon
Itni mohabbat tujhse mujhko kyon hai

Meri toh duniya badal gayi saali
Andhere mein bhi ho gayi Diwali
Mujhe ab bas ek teri hi talab hai
Tera ghoont miley mujhe ek pyaali

Kaisa yeh ujaala sa rehta hai...


A Keyrun Rao original

Bataa kya kahoon tujhe main
Meri likhi ghazal ya koi fasana
Tujhe samajhne laga hoon ab
Pyaar ka yeh lagta hai bahana

Kaisa yeh ujaala sa rehta hai
Jabse tu mujhe apna kehta hai
Tu ab jo bhi mujhe kehta hai
Sab kuchh sachcha hi lagta hai

Koi ek khwaab sach hua ho jaise
Jaane kisi ki dua lagi hai mujh ko
Samaa ja mujh mein tu kuchh aise
Jaise ke ye jahaan mila ho mujh ko

Kaisa yeh ujaala sa rehta hai
Jabse tu mujhe apna kehta hai
Tera hone laga hoon ab main
Ek meetha sukoon sa rehta hai

Dhadkan mein aaj naya taal hai
Kadmon bhi ab uchhaal hai
Har din aankhon mein aansoo they
Badey waqt mein aaya ye saal hai

Kaisa yeh ujaala sa rehta hai
Jabse tu mujhe apna kehta hai
Teri hi panaahon mein mujh ko
Har sawaal ka jawaab dikhta hai

Hawaon ka rukh jaise badal gaya
Aaj lagta hai ke sab hi tham gaya
Is rukey hue pal mein keh doon ye
Tu mili mujhe sab kuchh mil gaya

Monday, May 6, 2013

Maut si zindagi ya zindagi si maut...


A Keyrun Rao original

Tera milna kuchh aisa laga jaise
Maut si zindagi ya zindagi si maut
Zindagi ka khauf toh raha nahin
Na rahi meri maut se mohabbat

Tere saath sab ek sa lagne laga ab
Maano jaise paaya hai maine rab
Ab kisiki talaash nahin hai mujhko
Bachpan sa pak lag raha hai sab

Tujhe dekh kar bas rukna chaaha
Maut si zindagi ya zindagi si maut
Chalte hue thak gaya tha shayad
Teri khushi mein maine sab paaya

Bina tere yeh zindagi maut si lagti thi
Tu jo paas hai toh jannat naseeb hai
Bina tere yeh lambi raah nigal leti thi
Ab toh hamesha muskaan hi rehti hai

Tujh mein maine hai paaya khud ko
Ya shaayad kahin kho diya hai sabko
Maut si zindagi hai ya zindagi si maut
Miloonga jab toh bataoonga us rab ko

Monday, April 8, 2013

Kaisi hai tu...


A Keyrun Rao original

Tujhe gaye zyaada waqt toh nahin hua,
Teri khushboo ab bhi mujh mein hai,
Teri kuchh baatein sunaayi de rahi hain,
Teri rooh ab bhi mujh mein hai kahin

Mujhe ek awaaz de kar dekh toh zara
Teri muskaan se hai mera yeh dil bhara
Jaane kahaan duur chali gayi hai ab tu
Dil mera kyon yeh hai is tarah dara-dara

Jaanta hoon laut aayegi tu jald hi paas mein
Jaane phir kyon hoon aaj itna udaas main
Aisa lagta hai doosre hi kamre mein tu hai
Phir bhi lagta hai sabse tanha hoon aaj main

Aas-paas hi hai kahin aisa mujhe lagta hai
Toh meri rooh aaj kyon itni bhi pyaasi hai
Chhoo hi nahin paa raha hoon tujhe main
Shaayad isliye meri raahein sookhi hui hai

Kaisi hai tu, teri koi bhi khabar hi nahin
Aise kyon lagta hai, tu hai toh yahin kahin
Kaisi hai tu, teri koi bhi khabar hi nahin
Kyon nahin bas jaati mujh mein tu kahin