Sunday, February 26, 2012

Woh zameen aur thi

A humble dedication from Keyrun Rao to His God...


Chaand jam ke chamka tha, taaron ki baat kuchh aur thi
Teri panaah mein jeete they, bin tere woh raat aur hi thi
Teri yaad mein rahe ek hum, wo kuchh aur hi raat thi 
Itney akeley tab bhi na they, tab teri baat hi kuchh aur thi

Tham gayi teri meethi roshni, na rahi teri koi bhi justajoo
Yun laga jaise kisi marti jaan mein paaye tere rang-o-boo
Daud jaa duur mujhse, aur main tujhse ab kya kahoon
Aur kitne sher, daastaanein kitni main tere naam likhoon?

Maut badi asaan hai, teri yaadein to bichhad jaati hain
Tere jaane ke baad bhi, teri adaayein yaad aa jaati hain
Tujhse pehle suqoon tha, ab mujh mein na koi junoon hai
Taaron bin falak, na dhadkan mein koi bhi saansein hain

Chaand jam ke chamka tha, taaron ki baat kuchh aur thi
Bina koi bhi sawaal kiye, jab tum  mere hi saath mein thi
Kuchh bikhrey, thode se simtey, ek alag si hi woh raat thi
Jis din suna tha mujhe tuney, teri toh kuchh aur hi baat thi

Sab ruk gaya hai aaj ke din, kaise jiyoon main ab tere bin
Kitni raatein meri beeteingi, bataa yeh chamkiley taare gin
Thoda ab tu bhi jee ley, mehsoos kar woh saare raat-o-din
Jab tha main tanhaa naachaa, kaise yun tak dhina dhin dhin

Friday, February 24, 2012

Kahaani adhoori reh gayi...

A Keyrun Rao Original, humbly dedicated to Sujoy Ghosh's Kahaani.


Ek kal dekha tha, saath mein tere,
Naya pal na socha, kabhi bin tere,
Tanha raatein, mayoos subah hai,
Bataa de kyon hai tere itne chehre?

Sab ruk gaya, main to bujh gaya,
Kyun is tarah se tu yun kho gaya?
Kahaani adhoori, hum bhi adhoore
Rooh pe bas tera saaya ab reh gaya.

Ek zindagi pal rahi hai mujh mein
Aur main dhal rahi hoon tujh mein
Jee lene de humein, ab mil ja kahin
Soyega to tu bhi humare qabr mein

Kyun khafaa hai bas itna hi bata de
Bina tere jeene ki yun na sazaa de
Kahaani adhoori, hum bhi adhoore
Marr chale hain, ab jaldi se jaga de

Kaise khatm kar dein hum ye silsila
Sochte hain humein tu kyun tha mila
Tanha bhi jee hi liya karte they hum
Jaane tujhe hai meri kis baat ka gila?

Kab tak yun chhupe rahoge Arnab
Lut jaaoge saari khushiyon se jab?
Dekhta hai sab hi kuchh woh rab
Tum jaanoge is bewafaai  ka sabab.

Sunday, February 19, 2012

Zindagi se to maut bhali

A Keyrun Rao Original, inspired by RGV's Satya.



Thoda sa jeete hain, marte zyaada hain,
Dhadkan badh gayi, saansein kam hain,
Hisaab samajhe nahin, hum kahaan hain?
Jalte-bujhte hain, Sote-jagte bhi hain,

Jaane meri ye dastaan kahaan hai chali
Hamesha lagta hai, zindagi se maut bhali
Veeran sehra mein, ek pyaari kali khili
Meri muskaan jaane kyun ab bhi dhali

Thoda ishq hai, ranjishein to zyaada hain
Gham behisaab, khushiyaan kahaan hain?
Behisaab chehron mein, hum khaan hain?
Bikhre rehte hain, kabhi jud bhi jaate hain

Yaqeen kiska hai, sab hi to paraaye hain
Suqoon ki talaash mein khoyi raahe hain
Apna kaun hai, saare hi toh paraaye hain
Koi samajhta nahin, jo mere ishaare hain


Jaane meri ye dastaan kahaan hai chali
Hamesha lagta hai, zindagi se maut bhali
Ek faqeeran jaane kaise mujhe yun mili
Uske ishq mein meri jawaani yun hai jali

Friday, February 17, 2012

The first time I saw you smile...

A Keyrun Rao Original, dedicated to Gautham Menon's VTV


I didn't know about the magic of being in love
All I knew was that it was an awesome feeling 
I wanted to wake up to, every day of my life
It's you who showed me how it is, to be in love

I was a different person, without any damn style
That was only till, the first time I saw you smile
You changed me, without me even noticing it
 Our world view may be distant more than a mile

With you around, it all seemed so damn beautiful
The sun looked so pleasant, moon seemed magical
Every moment with you inspired another poetry
Don't know why, it was like some divine miracle

Wish you were still around, memories still abound
Your sight and your fragrance are still all over me
Everything seems meaningless, still miss you a lot
You are the sky I look upto, that's what I've found

Flowers had another fragrance, stars were brighter
When you were close by me, life was oh so stellar
Days left me spellbound, nights were so much shinier
Could I even dream be your knight in shining armour

The world looked different, happiness was all over
Now that it's a closed chapter, nothing is like it was
The wish to be awake again seems to be gone far
I know this for sure, won't be able to forget you ever!


Tuesday, February 14, 2012

Table for one...


A Keyrun Rao original


Gimme a table for one
He asks me WHAT???
& I am friggin done!
Can't I simply be alone?
Gimme a bloody table for one!

It's a blessed Saturday evening
And I am nursing the lonely feeling
The guys have their miseries @ their arms
The girls showing their stupid charms

Can't I simply be alone?
Gimme a bloody table for one!

I love you sweetheart says he
& they break into a cozy dance
Am I supposed to feel jealous &
wait for my goddamned chance?

Can't I simply be alone?
Gimme a bloody table for one!

He cheats royally behind her back
She screws around strutting her rack
Why then should I not enjoy myself?
Why then should I become the odd one?

Can't I simply be alone?
Gimme a bloody table for one!    

(Had written it long back. Things haven't changed since. Yes, I know... FML)

Monday, February 13, 2012

Tere ishq ka ehsaan...

A Keyrun Rao original



Har nazariya badal gaya
Woh ek jung bhi ruk gaya
Tere ishq ka ehsaan hi hai
Aaj sab kuchh thehar gaya

Wo saare pal aur muskaan
Aaj mujhe itna badal gaya
Tanhaai do pal ka mehmaan
Chalte-chalte bas chal hi diya

Tere ishq ka ehsaan rahega
Meri dua mein tu hi basega
Koshish jitni kar loon main
Har saans mein tu dhadkega


Har nazariya badal gaya
Woh ek jung bhi ruk gaya
Teri muskaan ka jaadu hai
Main marte hue bhi jee gaya

Kain baatein suni maine ishq ki
Jaane be-swaad kyon hai lagiin
Khwaabn ki nabhi kami na thi
Kyon tere sajde mein hi wo jagi


Har wo nazariya mera badal gaya
Woh ek pal aaj ko hai guzar gaya
Gin kar dekh bhi le meri duaein
Lut kar bhi tu aaj yun sawar gaya

Tere ishq ka ehsaan hai mujhpe
Aaj sab mera to bikhar gaya
Kya dhoondhoon ab mein bataa
Tera kya gaya, aur maine kya paaya

Saturday, February 11, 2012

Sajdaa tha shaayad...

A Keyrun Rao Original, dedicated to a divinity, that is love.



Nazrein mili thi jab apni
Ek azaan sa sunaayi diya
Pehli baar mere is dil ne
Ek naya karwat tha liya

Ek dua si mili thi wo khushi
Kitne maut mar ek lamha jiya
Mera sajda hi tha shaayad
Kaisa ajeeb ye jaadu tha hua

Lamha tham gaya, ruki saansein
Karni thi tumse kitni saari baatein
Kahaan kho gayi ho ab jaane tum
Tohfe mein mili ye tanha raatein

Mera sajda hi tha shaayad
Kaisa ye asar mujh par hua
Sukoon toh mila mujhe par
Jaane tu kyun na mera hua


Tera saaya bas reh gaya hai
Aur teri kuchh meethi yaadein
Marta hoon aur jee leta hoon
Yaad kar ke teri pyari baatein

Mera sajda hi tha shaayad
Kaisa ajeeb ye jaadu tha hua
Ya teri bandgi hi thi shaayad

Ek dua mera aur kabool hua

Buri hai ishq di aadat...

A Keyrun Rao original, about a fatal addiction, that is love!


Koi kahe ishq, kisi ke liye ye mohabbat
Kisi ko miley jahannum, koi paaye jannat
Mil jaaye to sab sahi, na mile gar to galat
Yun lag chala hai ab, buri hai ishq di aadat

Kain to bach gaye, kuchh fanaa ho gaye
Kitne to qaafir bane, kuchh nuur pa gaye
Kahin andher raha, hum chaand kha gaye
Kisi ne aasmaan nigla, hum taara ban gaye

Humaara afsaana bhi koi kahega kisi din
Jalte-jalte bujh gaye ek din hum tere bin
Aaj bhi roshni ki talaash hai, bas thodi si
Bujh kar kya jal paayenge, hum tere bin?

Buri hai ishq di aadat, tanha hi behtar hai
Hum dafan hue zinda, tu jaane kidhar hai?
Mera diya gham yaad hai, khushi bhool gayi
Aansoo de gayi, kyun teri muskaan idhar hai

Dil ke saude mein maine to sab kuchh khoya
Loot ke mujhe, bataa tune bhi kya paaya?
Buri hai ishq di aadat, der mein samajh aaya
Kya bigaada tha, jo is kadar mujhe rulaaya?

Dil ki chot bharte zamaana beet chala hai ab
Kyun hamesha pyaar ka hota hai aisa sabab?
Kab tak sanson ka ye silsila chalta rahega
Mujhe teri panaah mein ab le bhi le ya rab...  

PS: Happy Valentine's Day to all those who found love and best of lucks to those who are yet to find.

Image courtesy: starlitxdisaster  

Thursday, February 9, 2012

Khushi ka chehra...

A Keyrun Rao original, dedicated to my dear sister who has always been there for me!

Kehne ko khushi kya hai?
Ek alfaaz, ek meetha ehsaas?
Jab usey chehra dena chaaha
Bas tu hi humein nazar aaya

Kehne ko ummeed kya hai?
Ek aur alfaaz, pyaara ehsaas?
Jab usey chehra dena chaaha
Bas tu hi humein nazar aaya

Rishtey to bahut ban jaate hain
Hamesha thodi nibha paate hain
Kuchh log bade khaas hote hain
Dua ban ke dil mein reh jaate hain

Yun dekho to dua bhi kya hai?
Ek gehra alfaaz, ghazab mithaas?
Jab usey chehra dena chaaha
Bas tu hi humein nazar aaya

Yun hi rehna saath, aayat ban kar
Kuchh achcha hum kar jaayenge
Bahut duur tak chalna hai abhi
Tu na ho gar, pehle hi ruk jaayenge

Wednesday, February 8, 2012

Poora chaand aur adhoore hum...

A Keyrun Rao Original
(Assuming it is a full moon night, tonight.)



Tere bina kuchh haasil nahin lagta
Koi raah jaane kyon nahin dikhta
Khushi jitni bhi mil jaaye humein
Andheron mein hi hoon bhatakta

Tere rehte badla mera har aalam
Tu nahin hai mayoos hai mausam
Poora chaand aur adhoore se hum
Thodi hai khushiyaan aur itne gham

Aaj taaron se zyaada baadal hain
Tera phaila hua kaajal kyun hai
Chal saath mere kuchh pal toh aur
Bataa phaili itni bhi udaasi kyun hai

Tere rehte jiya tha har wo ek pal
Bin tere aaj sab gaya hai badal
Poora chaand aur adhoore se hum
Tere bin katra-katra nikle mera dum

Teri khushboo tera saaya ab bhi hai
Mera tujhse woh naata aaj bhi hai
Kaise paraaya kar paayegi mujhe
Kuchh to mujh mein ab bhi tera hai

Teri koi baat bhoola nahin hoon main
Tanha yun hi jeeta raha hoon main
Poora chaand aur adhoore se hum
Tujh se parey ab main bhi nahin main

Monday, February 6, 2012

Aayine mein aks kuchh aur dekha...

A  Keyrun Rao Original, dedicated to Stuti

Ab sach kaun kehta hai yahaan,
Aaj kal jhoot hi sunaayi aata hai
Koi chaahe jitna bhi ho kameena
Humein toh paak dikhaayi deta hai

Aayine mein aks kuchh aur dekha
Jeene ka hai kuchh aur hi tareeqa
Koi bhi shaqal bana lo chaahe tum
Usne toh teri asliyat ko hai parkha

Sach sunta kaun hai, kehta hai koi?
Sab ko jhooth ki aadat pad chali hai
Us aks mein jhaank kar dekh toh lo
Tumhaara hi koi sach chhupa ho koi

Aayine mein aks kuchh aur dekha
Jeene ka hai kuchh aur hi tareeqa
Jhoothi muskaan ho ya dard koi
Khud ko luta hua aur bebas dekha

Hataa bhi do naqaab, ab thak chaley
Shaqal dekhein tumhaari oh rangrez
Jaane kaise rangon mein bhigo chaley
Lagta hai abe, chal ek baar aur milein

Aayine mein aks kuchh aur dekha
Jeene ka hai kuchh aur hi tareeqa
Jab samjha maine yeh taana-baana
Tujhe bhi ek nayi nazar se aaj dekha    

Wednesday, February 1, 2012

Jaane kiski dua le kar aaya hai...

A Keyrun Rao Original, dedicated to all those Mumbaikars, who lost their lives and / or dear ones, thanks to Ajmal Kasab and his terrorist group. Isn't it high time he is dead?



Ghinouna mazaak sa lagne laga hai
Kya sab ka khoon khaulne laga hai?
Insaaf-e-khuda pe shaq ho chala hai
Jaane kaise woh aaj bhi zinda hai

Jaane kiski dua le kar aaya hai
Kya pata usey jannat nasseb ho

Bheegi aankhein sookh chali hain
Gehre dard bhi ab bhar chale hain
Wo manhoos raat jab yaad aaye
Lut jaata hai dil ka sukoon-o-chain

Jaane kiski dua le kar aaya hai
Kya pata sabse zyaada jiye woh

Kya mehmaan bana liya hai usey?
Ya maaf kar diya us darinde ko
Lagta hai hansi chhupaata hoga
Ab ye yaqeen ho chala hai mujhe

Jaane kiski dua le kar aaya hai
Kya pata koi sharm bhi hai usko?

Hindu-Musalmaan ki baat hi nahin
Insaaniyat ka khoon hai uske sar
Baatein hum karein chaahe jitne bhi
Sach ye hai ki insaaf abhi hua nahin

Jaane kiski dua le kar aaya hai
Kaise koi aisa bhi khushnaseeb ho