Friday, February 24, 2012

Kahaani adhoori reh gayi...

A Keyrun Rao Original, humbly dedicated to Sujoy Ghosh's Kahaani.


Ek kal dekha tha, saath mein tere,
Naya pal na socha, kabhi bin tere,
Tanha raatein, mayoos subah hai,
Bataa de kyon hai tere itne chehre?

Sab ruk gaya, main to bujh gaya,
Kyun is tarah se tu yun kho gaya?
Kahaani adhoori, hum bhi adhoore
Rooh pe bas tera saaya ab reh gaya.

Ek zindagi pal rahi hai mujh mein
Aur main dhal rahi hoon tujh mein
Jee lene de humein, ab mil ja kahin
Soyega to tu bhi humare qabr mein

Kyun khafaa hai bas itna hi bata de
Bina tere jeene ki yun na sazaa de
Kahaani adhoori, hum bhi adhoore
Marr chale hain, ab jaldi se jaga de

Kaise khatm kar dein hum ye silsila
Sochte hain humein tu kyun tha mila
Tanha bhi jee hi liya karte they hum
Jaane tujhe hai meri kis baat ka gila?

Kab tak yun chhupe rahoge Arnab
Lut jaaoge saari khushiyon se jab?
Dekhta hai sab hi kuchh woh rab
Tum jaanoge is bewafaai  ka sabab.

No comments:

Post a Comment