Sunday, February 19, 2012

Zindagi se to maut bhali

A Keyrun Rao Original, inspired by RGV's Satya.



Thoda sa jeete hain, marte zyaada hain,
Dhadkan badh gayi, saansein kam hain,
Hisaab samajhe nahin, hum kahaan hain?
Jalte-bujhte hain, Sote-jagte bhi hain,

Jaane meri ye dastaan kahaan hai chali
Hamesha lagta hai, zindagi se maut bhali
Veeran sehra mein, ek pyaari kali khili
Meri muskaan jaane kyun ab bhi dhali

Thoda ishq hai, ranjishein to zyaada hain
Gham behisaab, khushiyaan kahaan hain?
Behisaab chehron mein, hum khaan hain?
Bikhre rehte hain, kabhi jud bhi jaate hain

Yaqeen kiska hai, sab hi to paraaye hain
Suqoon ki talaash mein khoyi raahe hain
Apna kaun hai, saare hi toh paraaye hain
Koi samajhta nahin, jo mere ishaare hain


Jaane meri ye dastaan kahaan hai chali
Hamesha lagta hai, zindagi se maut bhali
Ek faqeeran jaane kaise mujhe yun mili
Uske ishq mein meri jawaani yun hai jali

No comments:

Post a Comment