Showing posts with label Mohammed Ajmal Amir Kasab. Show all posts
Showing posts with label Mohammed Ajmal Amir Kasab. Show all posts

Wednesday, February 1, 2012

Jaane kiski dua le kar aaya hai...

A Keyrun Rao Original, dedicated to all those Mumbaikars, who lost their lives and / or dear ones, thanks to Ajmal Kasab and his terrorist group. Isn't it high time he is dead?



Ghinouna mazaak sa lagne laga hai
Kya sab ka khoon khaulne laga hai?
Insaaf-e-khuda pe shaq ho chala hai
Jaane kaise woh aaj bhi zinda hai

Jaane kiski dua le kar aaya hai
Kya pata usey jannat nasseb ho

Bheegi aankhein sookh chali hain
Gehre dard bhi ab bhar chale hain
Wo manhoos raat jab yaad aaye
Lut jaata hai dil ka sukoon-o-chain

Jaane kiski dua le kar aaya hai
Kya pata sabse zyaada jiye woh

Kya mehmaan bana liya hai usey?
Ya maaf kar diya us darinde ko
Lagta hai hansi chhupaata hoga
Ab ye yaqeen ho chala hai mujhe

Jaane kiski dua le kar aaya hai
Kya pata koi sharm bhi hai usko?

Hindu-Musalmaan ki baat hi nahin
Insaaniyat ka khoon hai uske sar
Baatein hum karein chaahe jitne bhi
Sach ye hai ki insaaf abhi hua nahin

Jaane kiski dua le kar aaya hai
Kaise koi aisa bhi khushnaseeb ho