Saturday, February 11, 2012

Buri hai ishq di aadat...

A Keyrun Rao original, about a fatal addiction, that is love!


Koi kahe ishq, kisi ke liye ye mohabbat
Kisi ko miley jahannum, koi paaye jannat
Mil jaaye to sab sahi, na mile gar to galat
Yun lag chala hai ab, buri hai ishq di aadat

Kain to bach gaye, kuchh fanaa ho gaye
Kitne to qaafir bane, kuchh nuur pa gaye
Kahin andher raha, hum chaand kha gaye
Kisi ne aasmaan nigla, hum taara ban gaye

Humaara afsaana bhi koi kahega kisi din
Jalte-jalte bujh gaye ek din hum tere bin
Aaj bhi roshni ki talaash hai, bas thodi si
Bujh kar kya jal paayenge, hum tere bin?

Buri hai ishq di aadat, tanha hi behtar hai
Hum dafan hue zinda, tu jaane kidhar hai?
Mera diya gham yaad hai, khushi bhool gayi
Aansoo de gayi, kyun teri muskaan idhar hai

Dil ke saude mein maine to sab kuchh khoya
Loot ke mujhe, bataa tune bhi kya paaya?
Buri hai ishq di aadat, der mein samajh aaya
Kya bigaada tha, jo is kadar mujhe rulaaya?

Dil ki chot bharte zamaana beet chala hai ab
Kyun hamesha pyaar ka hota hai aisa sabab?
Kab tak sanson ka ye silsila chalta rahega
Mujhe teri panaah mein ab le bhi le ya rab...  

PS: Happy Valentine's Day to all those who found love and best of lucks to those who are yet to find.

Image courtesy: starlitxdisaster  

No comments:

Post a Comment