Monday, February 6, 2012

Aayine mein aks kuchh aur dekha...

A  Keyrun Rao Original, dedicated to Stuti

Ab sach kaun kehta hai yahaan,
Aaj kal jhoot hi sunaayi aata hai
Koi chaahe jitna bhi ho kameena
Humein toh paak dikhaayi deta hai

Aayine mein aks kuchh aur dekha
Jeene ka hai kuchh aur hi tareeqa
Koi bhi shaqal bana lo chaahe tum
Usne toh teri asliyat ko hai parkha

Sach sunta kaun hai, kehta hai koi?
Sab ko jhooth ki aadat pad chali hai
Us aks mein jhaank kar dekh toh lo
Tumhaara hi koi sach chhupa ho koi

Aayine mein aks kuchh aur dekha
Jeene ka hai kuchh aur hi tareeqa
Jhoothi muskaan ho ya dard koi
Khud ko luta hua aur bebas dekha

Hataa bhi do naqaab, ab thak chaley
Shaqal dekhein tumhaari oh rangrez
Jaane kaise rangon mein bhigo chaley
Lagta hai abe, chal ek baar aur milein

Aayine mein aks kuchh aur dekha
Jeene ka hai kuchh aur hi tareeqa
Jab samjha maine yeh taana-baana
Tujhe bhi ek nayi nazar se aaj dekha    

No comments:

Post a Comment