Sunday, February 26, 2012

Woh zameen aur thi

A humble dedication from Keyrun Rao to His God...


Chaand jam ke chamka tha, taaron ki baat kuchh aur thi
Teri panaah mein jeete they, bin tere woh raat aur hi thi
Teri yaad mein rahe ek hum, wo kuchh aur hi raat thi 
Itney akeley tab bhi na they, tab teri baat hi kuchh aur thi

Tham gayi teri meethi roshni, na rahi teri koi bhi justajoo
Yun laga jaise kisi marti jaan mein paaye tere rang-o-boo
Daud jaa duur mujhse, aur main tujhse ab kya kahoon
Aur kitne sher, daastaanein kitni main tere naam likhoon?

Maut badi asaan hai, teri yaadein to bichhad jaati hain
Tere jaane ke baad bhi, teri adaayein yaad aa jaati hain
Tujhse pehle suqoon tha, ab mujh mein na koi junoon hai
Taaron bin falak, na dhadkan mein koi bhi saansein hain

Chaand jam ke chamka tha, taaron ki baat kuchh aur thi
Bina koi bhi sawaal kiye, jab tum  mere hi saath mein thi
Kuchh bikhrey, thode se simtey, ek alag si hi woh raat thi
Jis din suna tha mujhe tuney, teri toh kuchh aur hi baat thi

Sab ruk gaya hai aaj ke din, kaise jiyoon main ab tere bin
Kitni raatein meri beeteingi, bataa yeh chamkiley taare gin
Thoda ab tu bhi jee ley, mehsoos kar woh saare raat-o-din
Jab tha main tanhaa naachaa, kaise yun tak dhina dhin dhin

No comments:

Post a Comment