Wednesday, February 1, 2012

Jaane kiski dua le kar aaya hai...

A Keyrun Rao Original, dedicated to all those Mumbaikars, who lost their lives and / or dear ones, thanks to Ajmal Kasab and his terrorist group. Isn't it high time he is dead?



Ghinouna mazaak sa lagne laga hai
Kya sab ka khoon khaulne laga hai?
Insaaf-e-khuda pe shaq ho chala hai
Jaane kaise woh aaj bhi zinda hai

Jaane kiski dua le kar aaya hai
Kya pata usey jannat nasseb ho

Bheegi aankhein sookh chali hain
Gehre dard bhi ab bhar chale hain
Wo manhoos raat jab yaad aaye
Lut jaata hai dil ka sukoon-o-chain

Jaane kiski dua le kar aaya hai
Kya pata sabse zyaada jiye woh

Kya mehmaan bana liya hai usey?
Ya maaf kar diya us darinde ko
Lagta hai hansi chhupaata hoga
Ab ye yaqeen ho chala hai mujhe

Jaane kiski dua le kar aaya hai
Kya pata koi sharm bhi hai usko?

Hindu-Musalmaan ki baat hi nahin
Insaaniyat ka khoon hai uske sar
Baatein hum karein chaahe jitne bhi
Sach ye hai ki insaaf abhi hua nahin

Jaane kiski dua le kar aaya hai
Kaise koi aisa bhi khushnaseeb ho

2 comments:

  1. Speechless.... "Hindu Musalmaan ki baat nahi, Insaaniyat ka khoon hai uske sar..." That night stays fresh in our hearts...Abhi toh zakhm hara hai..marham iska koi bana nahi..ek insaaf ki ummeed mein jaane aur kitni baar dil chaak chaak hoga....Aye Khuda Insaaniyat se bada kuch bhi nahi..toh ise abhi tak sazaa kyun mili nahi....Tere dar pe roz aata hun main dua liye..Kya meri inn duaaon ka koi silaa nahi?...

    A friend's friend had lost his life while he was on phone with his mother... Why!!.. Dear God, How were you able to see him eye to eye when he met you up there? How?.... Jo hota hai acche ke liye hota hai is what they say.. at times like this i fail to relate to this saying...

    ReplyDelete
  2. thanks so much! touch ho gaya by god!

    ReplyDelete