Monday, September 2, 2013

Khulkar hanste dekha toh jaana
















A Keyrun Rao original

Kaun kehta hai mujhko deewana
Tujhse milkar maine yeh jaana
Hansne ki wajah kaun maange
Koi bataao itna kaun hai siyaana

Khulkar hanste dekha tujhe toh jaana
Itna bura bhi nahin hai ye zamaana

Hanskar toh dekho tum bhi zor se
Aise dost toh milte hain naseeb se
Humraaz kaise banogey tum huzoor
Uski khushi toh dekho tum kareeb se

Rona toh khatam hota nahin kisika
Aaj kisi ko hanste hue bhi dekh lo
Marte ko rehne bhi do qabr mein
Kisi jeete ko muskuraate bhi dekh lo

Khulkar hanste dekha tujhe toh jaana
Itna bura bhi nahin hai ye zamaana

Hansna toh ek daen hai us khuda ka
Roney mein kya rakha hai bataao
Chaand mein tumko paaya hai maine
Taaron ka kya hai yeh hi samjhaao

Kaun kehta hai mujhko deewana
Tujhse milkar hai maine yeh jaana
Jab bhi tujhko hansta hua paata hoon
Mera har gham ban jaata hai begaana

Khulkar hanste dekha tujhe toh jaana
Itna bura bhi nahin hai ye zamaana
Khuda toh tere labon par rehta hai
Yeh baaqi saara ab kya hai fasaana?




4 comments:

  1. Superb Superb Superb...ek dam zakas...Thats life hasna or hasana :) Its fantastic poem...yaar u made my week....

    ReplyDelete
  2. Good one, K. This reminds me of a thought I'd jotted down sometime back: "Rulaane ka bahut shaukh hai tujhe zaalim... kabhi ekadh baar khushi ke aansu bhi de deta!"
    You know, there really are people who can't stand to see others laughing and be happy. BTW, which one of these two lovely ladies is your girlfriend? ;)

    ReplyDelete
  3. hehehehe kameeni J, we are just good friends :D

    ReplyDelete