Monday, February 16, 2015

Aaj sab se zyaada khush hoon main...

A Keyrun Rao original














Maut ke niwaale khaaye bahut,
Zindagi se parhez karta raha,
Ishq ke ghoont tujh se miley they,
Bas zehar ki talaash karta raha.

Rooh mein andhera bhar gaya tha,
Saanson mein meri ghutan si thi,
Raahein bhi chalne nahin deti thi,
Soch par bhi mere gehra saaya tha.

Aaj sab se zyaada khush hoon main,
Aansoo bhi ab khushi ke aate hain,
Ek teri noor mein roshan rehta hoon,
Aaj-kal khwaab bhi achche aate hain.

Aaj sab se zyaada khush hoon main,
Teri raah mein mohabbat ki goonj hai,
Teri lafzon mein mere ishq ki azaan hai,
Lagta hai ke naya ek banda hoon main.

Aaj sab se zyaada khush hoon main,
Lagta hai shayad meri nazar lag jaayegi,
Teri hansi mein meri muskaan rehti hai,
Tere saath meri ye umr bhi nikal jaayegi.

Maut ke niwaalon mein swaad nahin tha,
Zindagi bhi kuchh kuchh bujhi si thi meri,    
Tere saath mujhko bhi main raas aa gaya,
Marne waale ko zindagi ka swaad aa gaya.


No comments:

Post a Comment