Showing posts with label Love wrinkle free. Show all posts
Showing posts with label Love wrinkle free. Show all posts

Monday, May 6, 2013

Maut si zindagi ya zindagi si maut...


A Keyrun Rao original

Tera milna kuchh aisa laga jaise
Maut si zindagi ya zindagi si maut
Zindagi ka khauf toh raha nahin
Na rahi meri maut se mohabbat

Tere saath sab ek sa lagne laga ab
Maano jaise paaya hai maine rab
Ab kisiki talaash nahin hai mujhko
Bachpan sa pak lag raha hai sab

Tujhe dekh kar bas rukna chaaha
Maut si zindagi ya zindagi si maut
Chalte hue thak gaya tha shayad
Teri khushi mein maine sab paaya

Bina tere yeh zindagi maut si lagti thi
Tu jo paas hai toh jannat naseeb hai
Bina tere yeh lambi raah nigal leti thi
Ab toh hamesha muskaan hi rehti hai

Tujh mein maine hai paaya khud ko
Ya shaayad kahin kho diya hai sabko
Maut si zindagi hai ya zindagi si maut
Miloonga jab toh bataoonga us rab ko

Sunday, July 22, 2012

Paak mohabbat baaqi hai kya?

A Keyrun Rao Original


Sab kuchh toh maila sa lagta hai, saaf bataao hai kya?
Khuda pe sawaal uth chaley hain, baaqi raha hai kya?
Tumse mil kar laga tha ki rooh humaari dhul gayi hai aaj
 Sawaalon-jawaabon mein paaya, mujhe chaahti hai kya?

Paak mohabbat aaj baaqi hai kya? Mujhe toh nahin lagta
Bataa tujh mein mera aks, aur mujh mein teri rooh kaise
Aaj chaah-kar bhi ye bataa kyon nahin hai kisi ko dikhta
Maut ka saaya hai, nayi dastaan aaj tu kyon nahin likhta

Tera kuchh reh gaya hain mere paas mein, tu dekh bhi le
Aur gehra ho sakta tha ye, kuchh pal aur ye tu soch bhi le
Nigaahein gehri lagi thi teri, kuchh bhi keh ke bana mujhe
Ek nayi rasam hai duniya ki, ye aaj tu bhi mujh se seekh le

Paak mohabbat aaj baaqi hai kya? Mujhe toh nahin lagta
Bataa tujh mein mera aks, aur mujh mein teri rooh kaise
Is masoom shaam ko tu bhi bataa bas kaise hai dekhta
Dekhne ki baat toh ye hai, kaise hai tera khuda jhoomta

Paak to kuchh bhi raha nahin magar, tere bina mujhko
Sooni si kyon lagey hai, mohabbat ki har woh dagar
Allah ke paas fursat aaj zyaada to bachi hi nahin hai
Khuda ka bhi pata nahin, kaisi raah dikhaayega tujhko

Sunday, May 27, 2012

Kitne mausam saath dekhe...

A Keyrun Rao original humbly dedicated to Sandeep Mohan's debut film 'Love, Wrinkle-free'



Pehli mulaqaat ki yaadein dhundhli ho chali hain
Tere saath jaane kitni shaamein ab dhali hain
Thoda hum bade hue, kuchh humne sikha diya
Itne kadam saath chale, lagta hai sab kuchh pa liya

Aisa lagta hai ki jaante hain tumhe khud se zyaada
Teri har pyaari muskaan aur aansuon ka iraada
Phir sochte hain ki jab khud hi ko nahin jaan paaye
Kaise soch liya ki tera kabhi nahin badlega iraada

Rishte to aajkal yahaan hote hi kuchh ajeeb hain
Duur waale jaane kyun lagte dil ke  kareeb hain
Is kaminey dil ki harkatein hi kuchh aisi hoti hain
Kabhi jannat to kabhi jehannum mein bhejti hain

Kitne mausam saath dekhe hain humne chalte hue
Kabhi khushi mein bheegte, ya gham mein jalte hue
Tere hone ka suqoon raha, chaahe jitne naraaz hue
Har mod pe rehna sang, bhool ke sab shikwe-giley

Phir se karte hain pehli mulaqaat, bolo kya kehti ho?
Phir ajnabi ban kar, mohabbat shayad aur gehri ho?
Annie bas itna jaan lo, ek tum hi mere liye zaroori ho
Iske baad phir chaahe meri har aarzoo adhuuri ho.

(Just my juvenile take on the mid-life crisis faced by a married couple that has been beautifully depicted in the film. Hope it made sense; feedback will be appreciated.)