Sunday, July 20, 2014

Dhuein se rishtey ab nahin hain...

A Keyrun Rao original













Baadalon sa dhuaan chhaaya hua tha
Us pyaar se woh ghabraaya hua tha
Sach bann ke barsa wo baadal us pe
Us din woh akela ghabraya sa hua tha

Pyaar ke mausam se dara hua wo pyaasa
Lahu se gaadhe aansoo baha raha tha
Ishq ki garmi bhi thandi ho chali thi ab
Dard mein ab aasraa paana chaahta tha

Dhuein se rishtey toh ab rahey nahin hain
Uske sapne aag mein jal rahey nahin hain
Hansne ka ab bada mann karta hai uska
Apne maut se bhi usko koi darr nahin hai

Chaandni mein dhula rishta badal gaya usko
Gehrey andheron ne barson paala tha jisko
Aaj khush hai, bewakoofon si muskaan hai
Har kisi ne hamesha hi tha thukraaya jisko

Wo badnaseeb ek nayi ghazal likh raha hai
Apne liye wo ek naya khwaab dekh raha hai
Aaj phir uski band aankhon ko tum na kholo
Nayi ek raah par woh banjaara chal raha hai

Dhuein se rishtey toh ab rahey nahin hain
Us ke sapne to aaj nikhar-sawar gaye hain
Ek baar phir aaj hansna-muskaana hai usko,
Uski bas khwaabon si zindagi bachi hai...

No comments:

Post a Comment