Showing posts with label madness. Show all posts
Showing posts with label madness. Show all posts

Monday, May 6, 2013

Maut si zindagi ya zindagi si maut...


A Keyrun Rao original

Tera milna kuchh aisa laga jaise
Maut si zindagi ya zindagi si maut
Zindagi ka khauf toh raha nahin
Na rahi meri maut se mohabbat

Tere saath sab ek sa lagne laga ab
Maano jaise paaya hai maine rab
Ab kisiki talaash nahin hai mujhko
Bachpan sa pak lag raha hai sab

Tujhe dekh kar bas rukna chaaha
Maut si zindagi ya zindagi si maut
Chalte hue thak gaya tha shayad
Teri khushi mein maine sab paaya

Bina tere yeh zindagi maut si lagti thi
Tu jo paas hai toh jannat naseeb hai
Bina tere yeh lambi raah nigal leti thi
Ab toh hamesha muskaan hi rehti hai

Tujh mein maine hai paaya khud ko
Ya shaayad kahin kho diya hai sabko
Maut si zindagi hai ya zindagi si maut
Miloonga jab toh bataoonga us rab ko

Friday, July 13, 2012

Bheed badh gayi hai...

A Keyrun Rao Original


Kuchh aur hi tha yeh shehar, log kam aur khwab zyaada
Waqt badal gaya, aur pakka hi ho chala sab ka iraada
Koi jism bechta hai, kuchh ki toh rooh girwi hai yahaan
Samajh nahin aata ab, kaun baadshah hai kaun piyaada

Bheed badh gayi hai yahaan, koi khaali jagah hai kahaan?
Kisine mandir banaaya, koi masjid peechhe chhod gaya
Us se milne ke raaste itne, phir bhi bahut waqt lag gaya
Saaye nahin dikhte hain aaj-kal, kya ho raha hai yahaan?

Dost mil jaate hain aksar, khud toh kahin kho chuke hain
Is shor mein sach kahein toh, hum behre hi ho chale hain
Pata nahin kab suney apni dhadkan, usey mehsoos kiya ho
Badi si is bheed mein, ab hum bhi shaamil ho chale hain

Kuchh khwaab le kar aaye, kuchley dekhey apne hi saaye
Aansoo nikal to rahe magar, ponchhne ka waqt kaise laaye
Kuchh rishte ban bhi gaye, phir kyon jald hi hue paraaye
Jo samjha hai is dard ko, aaj bas wo hi humein samjhaaye


Bheed badh gayi hai yahaan, koi khaali jagah hai kahaan?
Kisine dukaan lagaayi, kuchh logon ne bhookh mitaayi
Bade-badon ne rutba kamaaya, kuchh ne pyaas bujhaayi
Jee lete hain baaqi sab, kuchh ajeeb sa hi hai apna jahaan

Waqt nahin hai kisi ke paas, na hai ishq ka koi bhi jazba
Jeene-marne ki dhun mein, laga hua hai apna yeh kasba
Ab apne saayon pe mat chalo, kisi ko yun bhi na kuchlo
Aane waali nasl ko chalo dein koi naya achcha sa tajurba