Monday, August 26, 2013

Naachne ka mann karta hai...

























A Keyrun Rao original

Itna khush rehta hoon aaj-kal
Jaise lottery lag gayi ho meri
Paagal samajhte hain mujhko
Ki khopdi satak gayi ho meri

Naachne ka mann karta hai ab
Naachna aaye nahin toh kya
Gaane ka mann karta hai ab
Gaana aaye nahin toh bhi kya

Sab kuchh keh deta hoon usko
Kuchh rehta nahin is dil mein
Woh bhi sab kuchh bak deti hai
Milte hi mujhe ek hi saans mein

Ajeeb sa lagta hoon naachta hua
Par ab mujhe koi parwaah nahin
Pagalon sa muskaata rehta hoon
Mera shayad ab koi ilaaj hi nahin

Jalebi ka tukda nigla ho jaise maine
Ya chaand pe kavita likh liya jaise
Tujh se milkar sanwar gaya hoon
Main toh kabhi nahin tha kuchh aise


Naachne ka mann karta hai ab
Ab toh mujhe koi bhi na roko
Pyaar ho chala hai bada gehra
Is raah par mujhe ab tum na toko

1 comment:

  1. Waa...arreeyy yaar meri hi najar lag jayegi....Be always happy...both of u :)
    maine apne mom dad ko itna hi pyaar karte hue dekha hain bas aap ko tarah express karte hue nai dekha....

    ReplyDelete