Thursday, March 1, 2012

Ek khwaab ki tarah...

A Keyrun Rao Original...

Jaise baadal koi takraaya ho yun pahaad se,
Ya shaayad Khuda mila gaya ho faqeer se
Jaise sardi mein kahin rehti dhoop ke jaise
Kya kahoon mujh mein toh tu hi hai waise

Ek khwaab ki tarah jeeti hai, kho jaati hai
Kisi dua ki tarah milti hai, tham bhi jaati hai
Aayat ki tarah, jaane kaise raas bhi aati hai
Mausam ki tarah woh chali bhi toh jaati hai

Jaise dua ho kisi faqir ki ya jaane kuchh aur
Kuchh toh ab bhi kehte hain guzar gaya daur
Dard to aaj bhi mujh mein utha hai waisa hi
Kya bas chuka hai tere bhi dil mein koi aur?

Chaand ki tarah milti hai, chhup bhi jaati hai
Aasmaani chaadaron mein, rehti kahaan hai?
Chal do baatein karein, dhadkanein baant lein
Bas itna bata de, tera woh jahaan kahaan hai?

Ek khwaab ke jaise mehakti hai, kho jaati hai
Paas aakar bhi jaane kahaan wo chali jaati hai
Khushboo ki tarah, rooh mein wo bhar jaati hai
Saaye ki tarah humein har pal wo yaad aati hai

Jaise khat ho puraana aur woh sandesa yaad hai
Kuchh to ab tum bhi likh dete, bahaana aur hi hai
Suqoon nahin mila mujhe, wo zakhm toh aur hai
Mera is qadar rona, baat saali kuchh aur hi hai 

No comments:

Post a Comment