Monday, January 30, 2012

Kitna aur intezaar

A Keyrun Rao original

Bahut waqt ho chala hai ab
Barsaat hui na baadal barse
Tu hi bataa de zaalim tere bin
Saawan ko hum kab tak tarse?

Kitna aur hum intezaar karein
Kitna tujhe hum pyaar karein

Tab kya Eid thi, aaj Diwali hai
Jaane kaise log they yaar mere
Us din toh chaandni poori thi
Aaj jaane kaise raat kaali hai


Kitna aur hum intezaar karein
Kitna tera aur intezaar  karein

Sadak sunsaan aur gali khamosh
Mera toh ab baaqi bhi nahin hosh
Daudo tum chaahe jitna bhi tez
Ek hai kachchua, doosra khargosh

Kitna aur hum intezaar karein
Kitna teri yaad mein ab jalein

Kuchh sooni meri muskaan hai,
Tujhpe to dhadkan qurbaan hai
Bataa kab tak rahein hum akele
Mere dhadkan ki ek tu shaan hai

Kitna aur hum intezaar karein
Tere bina ab kaise hum jiyein?

No comments:

Post a Comment