Tuesday, September 18, 2012

Toote dil ki jhankaar...

Kuchh manhoos sa hi tha ek woh din mera
Kuchh khwaab tootey, sang mein mera dil
Kuchh meri saansein pighli, thoda aasmaan
Kahaan hai bataa chhupa hua aasmaan tera

Toote dil ke saaye mein, rehta hai ye saaya mera
Ujaalon mein dooba rahey, yeh andhiyara mera
Zakhm sookh bhi jaaye, behta hai mer laal rang
Chalta hai yun bebaak, jaise sab kuchh hai mera

Tujhe dekha toh ek jhankaar sunaayi di mujhko
Aise laga ke ek nayi raah mil gayi ho mere dil ko
Aaaj tum toh ho nahin, na hai teri koi parchhaayi
Ek gehra sa ghaanv jaise laga hai mere is dil ko


Toote dil ke saaye mein, rehta hai ek khwaab mera
Ujaalon mein khoya rahey, kyon yeh sawaal mera
Itne kadam teri taraf chaley, koi nishaan nahin hai
Tu hi bata ke kaun banega ab yahaan gawaah mera


Kuchh manhoos sa hi mera ek pal tha woh
Chand rishtey mere haath se bhi chhootey
Kuchh khamoshi si thi, thoda sa shor bhi tha
Jaise mujh mein hi jaane kahin basta tha woh

No comments:

Post a Comment