Thursday, September 27, 2012

Naye zakhm ki talaash hai...















A Keyrun Rao Original

Ghaanv bhar gaya hai ab, nishaan baaqi hain
Ishq ab dhal sa gaya hai, yaadein baaqi hain
Dard se dosti ho chali hai, ab jalta nahin hai
Tere bina aaj bhi meri yeh saasein baaqi hain

Naye zakhm ki talaash hai, ek naya sa dard
Dil aaj dhoondhta hai, phir ek naya ghaanv
Ek nayi maut, ek naye se saaye mein aaj bhi
Jaise ho koi aahat pehle ki teri koi baat sard

Sab theek ho chala, main muskaane laga tha
Ek naya sa chehra mujhe ab lubhaane laga tha
Dard se puraana rishta hai mera kuchh is tarah
Main aaj jaane usko kyon yaad karne laga tha


Naye zakhm ki talaash hai, ek naya sa dard
Dil aaj dhoondhta hai, phir ek naya ghaanv
Ek nayi zindagi, aur shaayad ek nayi shuruaat
Jaane aaj kahaan hai kiske saath woh bedard

Chaand dekha maine, aur kucch bikhre taare bhi
Tera aks ab bhi hai, chaahe jo ho nazaare bhi
Tanha toh kabhi mehsoos na kiya khudko maine
Kabhi saath tu tha, kabhi sang they nazaare bhi

No comments:

Post a Comment