Monday, September 3, 2012

Kal ki baarish…


A Keyrun Rao Original















Baadalon ne phir mooh khola,
Paaniyon ne cheer ke rakh diya
Shehar zakhmi sa dikhne laga
Banda bhi thoda yahin beh gaya

Chhaaton ki kya baat karein hum,
Chhatein bhi toh uda kar ke gayi
Maasoom se wo saari nigaahein
Geela asmaan odh karke so gayin

EK baadal jo hota mera bhi agar,
Sawaar hokar ladte aasmaan se
Bijliyon se dhamkaate khuda ko
Bandon ki ore se gila bhi karte

Kal ki baarish kuchh aisi padi thi
Taare bhi baukhlaaye se dikhey
Kal ki raat kuchh aise beeti thi
Jaise jung ke farmaan hon likhey

Aise laga ki aasmaan ro diya tha
Jaane uski kya thi shiqayaat humse
Kaala dhuan humne usey pilayaa tha
Ye jawaab maangein ab hum tum se

Bardaasht koi bhi kab tak kare koi zulm
Kabhi to bahenge dard aansoo ban ke
Baadalon se girey to khuda ko kosoge
Apni khaamiyaan chhupa ke chalo tan ke

Kal ki baarish kuchh aisi padi thi
Nazaare bhi saare dard mein dikhey
Naraaz aasmaan ko dekho gaur se
Kya tumhe uske gehre ghaanv dikhey?

1 comment: