A Keyrun Rao Original
Kuchh karoonga achhaa, ek muskaan toh laoongaa
Ek andheri raat mein, ik diya main bhi toh jalaoonga
Tere bina koi ummeed nahin, na hi koi meri jeet hai
Ek badi puraani si koi dhun aaj phir main sunaoonga
Aaj bahut akela hoon, bade zor se aaj main gaoonga
Mat suno mujhe, phir bhi meri kahaani main sunaoonga
Tum hi bataao mujhe, aaj yeh roshni kahaan se aayi hai
Yeh subah kahaan thi, aur yeh raat kahaan se aayi hai
Jagaao mujhe aur bataao mujhe, teri yaad kyun aayi hai
Chaand ki roshni mein, kaise aaj yeh tanhaayi paayi hai
Aaj bahut akela hoon, bade zor se aaj main gaoonga
Mat dekho mujhe, aaj phir wahi kahaani dohraoonga
Baadal hain, taare aur chaand bhi toh aaj yahin hain
Jaane kyon bas aaj tu mere aas-paas bhi nahin hai
Kitne sawaal aur jawaab sab mere aaine mein hain
Agar nahin hai koi, aaj bas tu mere saath nahin hai
Aaj bahut akela hoon, bade zor se aaj main gaoonga
Duur jaao mujhse, ek puraana zakhm phir dikhaoonga
Bheed hai, log hain, bas ek tu hi toh hai kahin nahin
Khwaab hai, saans hai, bas tera nishaan kahin nahin
Kyon itni duur hai tu, ke ho kar bhi tu kahin bhi nahin
Mera aasmaan tu hai, aur tu hi hai jaan le meri zameen
Aaj bahut akela hoon, bade zor se aaj main gaoonga
Jeete toh yahaan sab hain, ek maut main mar jaaoongaa
No comments:
Post a Comment