Monday, September 24, 2012

Jab tak hai jaan...

A Keyrun Rao Original dedicated to Yash uncle's forthcoming film...

Pehli baar tujhe udaas dekha tha,
Mere andar jaane kya marr gaya;
Tumne kuchh kaha bhi nahin mujhe
Jaane tab main kya samajh gaya

Tujhe rota hua kyon na main dekh paaya
Tujh mein dhoondha maine apna saaya

Tera dard maut se bhi zyaada laga mujhe
Teri baatein toh rooh mein ghar kar gayi
Ek aansoo tera behta hai jab kisi baat par
Ghayal kar deti hai woh khayaal mujhe


Tujhe rota hua kyon na main dekh paaya
Tujh mein hi toh hai mera yeh dil samaaya

Roshni mein bhi tujhe kuchh dikha nahin
Kisi bhi manzar par main mila bhi toh nahin
Kaise jataoon apna pyaar tujhko ab bataa
Hai yahin par tujhe jaane kaise pataa nahin


Tujhe rota hua kyon na main dekh paaya
Tujh mein bhi hai mujhsa ek adhoora saaya

Jab tak hai jaan, bas ek tera rahoonga main
Teri muskaan mein bhi khilta rahoonga main
Tere aansoo aaj bhi ghayal karte hain mujhko
Teri ummeed mein phir bhi zinda rahoonga main


Tujhe rota hua kyon na main dekh paaya
Tujh mein basta hai mera hi ek anjaan saaya



No comments:

Post a Comment