Tuesday, June 15, 2010

Thoda faasla

A Keyrun Rao original

Yun lagta hai ki jaanta hoon tumhein
Tumhaari kami mehsoos bhi karta hoon
Sab kuchh luta doon tumhaari muskaan pe
Khud se ye wada bhi aksar karta hoon
Zindagi se ye shiqayat rahegi hamesha ki
Thoda sa faasla reh gaya humare darmiyaan

Saath hote jo hum agar to jannatein hoti
Shaam savere bepanaah mohabbatein hoti
Tumhaari pyari hansi mein pal guzarte
Humari baaton mein bhi shayari si hoti
Bura to lagega hamesha ae dost mere
Thoda faasla reh gaya humare darmiyaan

Kya ye chaahat hai, ye jaante nahin hai
Kyon meri dhadkan pehchaante nahin hai
Duniya poori alag hai humari tumhaari
Khud se juda tumhein maante nahin hain
Kaash kuchh pehle miley hote hum tumse
Thoda sa faasla reh gaya humare darmiyaan

Khud hi ki talaash mein hoon main aaj bhi
Tumhaare khudi ki kya baat karoon main
Apne aap mein raahat dhoondh raha hoon
Ab kaise aayega tanhaa is mere dil ko sukoon
Sochta hoon kabhi dil-o-rooh mein ye ki
Kyon thoda faasla reh gaya humare darmiyaan

Kaash mujhse karti baatein thodi aur...
Kuchh pal aur likh dete mere naam
Zindagi banti badi khoobsurat si apni
Subah rangeen, madhoshi bhari shaam
Mita do ye faasle, ab aao mere kareeb
Itna achcha bhi nahin hota sabka naseeb.

No comments:

Post a Comment