Friday, June 25, 2010

Koyle se kaale...


A Keyrun Rao Original

Koyle se kaale, gehre se chhale
Jaise sarhad paar koi duniya hai
Jahan insaan ki jaan se zyaada
Darindon ko pyaara khadaan hai

Kaala pad gaya ho lahoo jaise
Peeche virasat mein chhod gaye
Pushtein apni jaani dushmani aise
Bas kuchalte rehte hain insaaniyat

Rishton ka yahaan mazaak banta hai
Darr ke maare khuda bhi jhukta hai
Ghinouni hasratein saans leti hai
Neki jeene ko hazaar intehan deti hai

Dikhti nahin hai, par khaufnaak itni
Inke ranjishon ne li jaanein kitni
Aao dekho aur jaano kitne khush ho
Kyunki safed alag jahaan mein tum ho


[Dedicated to the upcoming coal mafia
projekt of Anurag Kashyap. Best lucks Sir.]

5 comments:

  1. hindi fonts me likhoge to maza zyada ayega...

    ReplyDelete
  2. kaale mann ki baat...kaale aakhar mein likh daali..
    wah wah karte hain hum..aur bajaate hain taali..
    hindi fonts mein hota achha..thik keh gayi upar waali...
    koi zor zabardasti nahi..likhna jab samay ho khali

    ReplyDelete
  3. chha gaye bidu.
    Poetry bhi kar lete ho :)

    ReplyDelete
  4. Bahut sahi kaha..

    ReplyDelete