Showing posts with label sneha khanwalkar. Show all posts
Showing posts with label sneha khanwalkar. Show all posts

Friday, November 16, 2012

Khayaali pulaao




A Keyrun Rao original

Dost jab khilaunon se khelte they,
Main khayaalon se kushti khelta
Kabhi main jeet.ta kabhi meri soch
Main hamesha yun tanha tehelta

Kabhi bol nahin paaya zyaada,
Kisi ki suni bhi nahin jaati thi
Sar ke andar ke shor se mere
Baatein bas dab ke reh jaati thi

Kuchh bade hue, to likhne lage
Meri soch syaahi mein ghul ke
Meri awaaz ki laathi ban ke
Alfaaz ban kar ab utarne lage

Akela hi rehta hoon, soch mein
Naye kirdaaron ki talaash mein
Kabhi beer mein, ya rum mein
Ek anjaan se kisi ke gham mein

Mere dost ab paise kamaate hain
Main khayaali pulao pakata hoon
Kahaniyaan, geet aur kuchh kisse
Isi mein apna ab waqt bitaata hoon

(Written for Sneha Khanwalkar)

Wednesday, July 11, 2012

Ek bagal mein...



A humble, yet bastardized version of Piyush Mihraji's masterpiece for Anurag Kashyap's Gangs Of Wasseypur!!! Apologies in place...

Ek bagal mein daaru hogi, duusre mein yaariyaan
Paas mein sutta bhi hoga, aur khoob hongi botiyaan
Talli ho kar maangengey jab muft mein yun rotiyaan
Kahega waiter bhi, khaao mere maalik ki jootiyaan

Hum bewdon ki kismat mein rahengi badi gaaliyaan
Koi hansega kahin khul kar, koi kahega shayariyaan
Jaisi ho marzi khuda ki, roothengi duniya-daariyaan
Beech mein toh hain hi yeh ajab-ghazab kilkaariyaan

Koi hairaan khud se hai, koi toh aaj bekhud bhi hai
Kisine aaj khud ko khoya, koi shaayad mehfil mein hai
Aaj ki baat rehne do, sab hi toh ab nashe mein hain
Koi bakwaas kar raha hai, koi kyon sannaate mein hai

Ek shiqaayat kar raha hai, ke gair ki baahon mein hai
Koi kehta hai yeh ke woh kuchh zyaada nashe mein hai
Hum to peekar yeh hain samjhe, ke sab hi chutiye hain
Ek hi gyaani hai yahaan, jo phir bhi hosh mein kyon hai

Ek bagal mein daaru hogi, duusre mein yaariyaan
Paas mein sutta bhi hoga, aur khoob hongi botiyaan
Noch lo haddi aur boti, kaho tumhaari kahaaniyaan
Hansega hum par, jo dekh paayega ye nishaaniyaan

Tuesday, June 19, 2012

Maa ne phir khichdi banaayi...

A Keyrun Rao original, humbly dedicated to Anurag Kashyap's Gangs Of Wasseypur!



Roz hi khaate rahey, pet bhi ye bhara raha
Swaad kaun jaanta tha, dhadkan jaari raha
Ek din chakha tha ras, dil wahi mangta raha
Kya tha us mein, jo ab bhi wahin atka raha

Maa ne phir khichdi banayi, humne woh khaayi
Pet toh bhar gaya, ye ajab khushi kahaan se aayi?


Swaad ka toh kuchh bhi pata hi nahin tha humein, 
Bas chup-chaap hum aise hi kha liya karte they
Jab dekha toh jaana ke aise bhi ban sakti hai roti
Khud ko jaane aise kaise samjha liya karte they


Maa ne phir khichdi banayi, humne woh khaayi
Pet bas bhar gaya, jaane ye zakhm kahaan se laayi


Koi achaar se khaata, toh koi namak-mirch se
Hum bas dekha karte they unhey bade duur se
Maange nahin they unka achaar, na unke vichaar
Shaayad sab mila humein is kharaab taqdeer se


Maa ne phir khichdi banayi, humne woh yun khaayi
Pet toh bhar gaya, jaane kyun aankhein bhar aayi

Koi toh naacha achcha tha, kisine gaana bhi gaaya
Par naya kissa kisi ne bhi yahaan kyon nahin sunaaya
Kahaani kya hai tumhaari, aaj humein bhi bataa do
Bahut de chuke hain tum ko, ab bolo kya hai bakaaya


Maa ne phir khichdi banayi, humne woh khushi se khaayi
Pet toh bhar gaya, jaane mera zakhm kab dega dikhaayi?