A Keyrun Rao original…
Ammi ne khaana banaya tha mere liye
Tab toh maine yeh kuchh socha na tha
Pehli baar jab andaa khaaya tha maine
Mujhe kuchh bhi maaloom hi na tha…
Ammi ke pakaaye khaane ki baat kya hai?
Woh baat toh yaar kuchh aur hi hai na…
Sardiyon ke dhoop ke jaisi hai shaayad;
Ammi ke khaane ka swaad kuchh aur hai na!
Ammi ne machhli banaayi thi Amjad ke liye
Us din mujhe kuchh ajeeb sa lag raha tha…
Maa toh meri thi woh utni hi, jitni uski thi,
Phir jaane kyon mujhko ajeeb lag raha tha?
Musalmaan hai toh kya… woh meri maa nahin
Maans-machhli khaati hai woh toh kya hua
Ab tum bolo kay ab woh insaan bhi nahin
Uski dua se barkat hai, wo shaitan to nahin…
Aaj Ammi ki yaad jaane kyon aa rahi hai...
Aaj ka mera din itna bhi buraa toh nahin
Ammi meri peeth thap-thapaa de phir se
Ek shayari main likh doon yoon hi kabhi
Kehte hain Musalman hi hogi woh shaayad...
Uski daal mein tadka aaj bhi waisa hi lagta hai.
Amjad se bhi pyaara hoon main us maa ko…
Uske sajde mein mera sar waise hi jhukhta hai!
No comments:
Post a Comment