Saturday, July 27, 2013

Kab socha tha yeh maine...
















A Keyrun Rao original

Khwaab ki tarah aayi woh
Aur bas gayi saanson mein
Kuchh is tarah ke shayad
Khushi ban kar khudi mein

Mithaai pasand nahin usey
Main hi pasand kyon hoon
Poochha toh jaana maine ki
Kadwa toh main bhi hoon

Kab socha tha yeh maine
Ke mujhe bhi koi chaahega
Kab socha tha yeh maine
Ke mera bhi waqt aayega

Uski muskaan hai pyaari
Luta doon ye zindagi saari
Jalogey gar sunogey tum
Pyaari si kahaani humaari

Lagta hai sab tham gaya hai
Saansein meri aur mera lahoo
Bas woh hai mere zehan main
Is se zyaada main kya kahoon

Kab socha tha yeh maine
Ke ek aisi paglil bhi hai
Chaahti hai woh mujhe yun
Mera naya asmaan bhi hai

Sunta hoon usko kuchh der
Kuchh baatein bhi karta hoon
Achchhi lagti hai woh mujhe
Us ke saath hi theharta hoon

Khaana garam hai, aur baatein bhi
Sawaal uske hain, khoya main hoon
Waqt kam hai, par pyaar zyaada hai
Meri nadaani ko bol kya naam doon? 

No comments:

Post a Comment