A Keyrun Rao Original
Anjaane mein kya azaan sun li hai
Ya kisi ne keh diye sach tamaam
Jo bhi kaho, khuda to bas ek hi hai
Thoda jhuko, imaan se kaho salaam
Jhooth sab hai, maano kuchch bhi tum
Chaahe raho kisi bhi khayaal mein gum
Kahin bhi suno, sach toh bas ek hi hai
Kuchh bhi kaho, sabki manzil bas ek hai
Khush tum raho yaa geeli kar lo aankhein
Har ek safar ki manzil toh bas ek hi hai
Jhooth sab hai, maano kuchh bhi tum
Kisiki neki kiska samjho kuchh bhi nahin
Anjaane mein kya azaan sun li hai
Kuchh aur meetha lagta hi nahin
Jaane kahaan reh gaya hai wo pyaar
Teri saanson jaisa to kuchh bhi nahin
Jhooth sab hai, maano kuchh bhi tum
Ik anjaane bheed mein hun ho hue gum
Thode akeley reh gaye hain yahaan
Kuchh teri yaadon ka bhi hai sitam
Chaahe jitna bhi sochna chaahe hum
Ye duuriyaan kabhi na hongi kam
Jhooth sab hai, maano kuchh bhi tum
Jaise kal ki talaash mein, ye pal hai sunn
Anjaane mein kya azaan sun li hai
Ya kisi ne keh diye sach tamaam
Jo bhi kaho, khuda to bas ek hi hai
Thoda jhuko, imaan se kaho salaam
Jhooth sab hai, maano kuchch bhi tum
Chaahe raho kisi bhi khayaal mein gum
Kahin bhi suno, sach toh bas ek hi hai
Kuchh bhi kaho, sabki manzil bas ek hai
Khush tum raho yaa geeli kar lo aankhein
Har ek safar ki manzil toh bas ek hi hai
Jhooth sab hai, maano kuchh bhi tum
Kisiki neki kiska samjho kuchh bhi nahin
Anjaane mein kya azaan sun li hai
Kuchh aur meetha lagta hi nahin
Jaane kahaan reh gaya hai wo pyaar
Teri saanson jaisa to kuchh bhi nahin
Jhooth sab hai, maano kuchh bhi tum
Ik anjaane bheed mein hun ho hue gum
Thode akeley reh gaye hain yahaan
Kuchh teri yaadon ka bhi hai sitam
Chaahe jitna bhi sochna chaahe hum
Ye duuriyaan kabhi na hongi kam
Jhooth sab hai, maano kuchh bhi tum
Jaise kal ki talaash mein, ye pal hai sunn
No comments:
Post a Comment