Friday, March 22, 2019

Aaj mera dil ubal raha hai...

A humble tribute to Gulzar Saab's recent speech I watched/heard.
















Koi diggaj mujhse likhne ko keh raha tha aaj,
Koi mera mooh bhi bandh karna chaahta hai;
Meri baat padh ke mujhe koi maar bhi dega,
Mere dil ke andar ka dil ye mujhe ab keh raha hai...

Aaj toh mera dil ubal raha hai zor se,
Aanch tez hai, dhuaan bhi toh uth raha hai;
Zubaan kaamp rahi hai meri, mere darr ke maare,
Kya bolooon main, sab theek-thaak nazar aa raha hai.

Ek baat pe hazaar log naraaz huwe baithe hain,
Sabke jazbaat kyon itney thes khaaye rakkhe hain?
Aaj main phir bhi likhoonga, kisine kaha tha mujhe,
Bataao toh ye samaaj ke thekedaar kahaan baithe hain.

Dil ka nek banda hoon main, likhna mujhe aata nahin,
Kyon gareebon ki, sarkaar ko kisiki koi parwaah nahin?
Yeh likh toh diya hai maine, darr bhi lag raha hai mujhe,
Main marr bhi jaaoon agar kal, shayad koi badi baat hain...

Aaj toh mera dil ubal raha hai badi zor se shaayad,
Aanch tez hai, dhuaan kahin se toh uth raha hai yahaan;
Lagta nahin Rani ye sab mujhe aaj raat likhne deti,
Woh meri jaan hai, aur meri pyaari nigehbaan yahaan.

Aaj toh mera dil bada bade zor se ubal raha hai,
Aanch tez hai, dhuaan seene se bhi uth raha hai;
Dil ki baat poochh loon kya? Gehra mera sawaal hai...
Lagta hai desh ka maamla toh aaj bloody behaal hai.









No comments:

Post a Comment