Thursday, June 28, 2012

Ek mausam ki tarah…


A Keyrun Rao Original



Boondon waale ek mausam ki tarah
Meri zindagi mein yun aayi thi tum
Har mausam tum yaad aati rahi
Is baar jo milo, na ho jaana ghum

Ghazlon mein sunte toh rahe hain tujhe
Duaon ki tarah mujh mein shaamil ho
Darte hain ki bhool gaye ho tum mujhe
Kaha kabhi nahin, phir bhi tum meri hi ho

Phir mil ja mujhe wahi bheege mausam si
Kuchh apni baat kahein, aur tujhe sunein
Is baar toh samet loonga seene mein yun
Bas mujh mein hi tu phool sa khilta rahe

Chalo is mausam mein jam ke baraste hain
Duur ho chaley they, phir saath theharte hain
Kab tak meri ye khamoshiyaan sunti rahogi
Ek pyaari si ek baat aao ab chalo shuru karein


Dedicated to Bhabhijaan… all the best Mr Amol Palekar ;-) 

Tuesday, June 19, 2012

Maa ne phir khichdi banaayi...

A Keyrun Rao original, humbly dedicated to Anurag Kashyap's Gangs Of Wasseypur!



Roz hi khaate rahey, pet bhi ye bhara raha
Swaad kaun jaanta tha, dhadkan jaari raha
Ek din chakha tha ras, dil wahi mangta raha
Kya tha us mein, jo ab bhi wahin atka raha

Maa ne phir khichdi banayi, humne woh khaayi
Pet toh bhar gaya, ye ajab khushi kahaan se aayi?


Swaad ka toh kuchh bhi pata hi nahin tha humein, 
Bas chup-chaap hum aise hi kha liya karte they
Jab dekha toh jaana ke aise bhi ban sakti hai roti
Khud ko jaane aise kaise samjha liya karte they


Maa ne phir khichdi banayi, humne woh khaayi
Pet bas bhar gaya, jaane ye zakhm kahaan se laayi


Koi achaar se khaata, toh koi namak-mirch se
Hum bas dekha karte they unhey bade duur se
Maange nahin they unka achaar, na unke vichaar
Shaayad sab mila humein is kharaab taqdeer se


Maa ne phir khichdi banayi, humne woh yun khaayi
Pet toh bhar gaya, jaane kyun aankhein bhar aayi

Koi toh naacha achcha tha, kisine gaana bhi gaaya
Par naya kissa kisi ne bhi yahaan kyon nahin sunaaya
Kahaani kya hai tumhaari, aaj humein bhi bataa do
Bahut de chuke hain tum ko, ab bolo kya hai bakaaya


Maa ne phir khichdi banayi, humne woh khushi se khaayi
Pet toh bhar gaya, jaane mera zakhm kab dega dikhaayi?

Monday, June 18, 2012

Chaand taang diya...

A Keyrun Rao original, humbly dedicated to Tigmanshu Dhulia's 'Paan Singh Tomar'


Daud kuchh aur hi thi, ek chaand taang diya
Aur teen pyaare taare bhi saja diye tumhne
Khuraak ke oopar hi nazar thi ye humaari
Jaane kaisi dariyaaon ka saahil yun bana diya

Kaun jeetega, hum toh khudse hi daudte hain
Kitna bhaagega, hum bas itna hi poochhte hain
Kisiko jaan pyaari hai, toh kisi ko uski maal
Apni jung toh hum bas akele hi lada karte hain t

Kitne daud jeete, aur kitni jaanein toh haare bhi
Tumne roka hota mujhe, saansein chalti humaari bhi
Bas tere liye na hua toh kya, chhil gaye hain poore
Ummeed hai ke dua qabool ho jaaye humaari bhi

Sheron ki baat aur hai, insaan ki to zimmedaari hai 
Socho chaahe jitna, kar ke dekho jitne bhi jatan
Jeetne ke us pal se toh, aaj main sach kahoon 
Zindagi ke kitne andhere aaj bhi utne hi bhaari hai

Daud kuchh aur hi thi, ek chaand kyon taang diya
Aur teen pyaare taare bhi kyon saja diye tumhne
Rishton ki kadar thi, zindagaani bechaari mein
Daudaate hue, ek aansoo mera aur chhalka diya

Thursday, June 14, 2012

Koshish bhi kyon karein...

A Keyrun Rao Original, dedicated to Anurag Kashyap's Gangs Of Wasseypur!


Ab dum ghut chala hai, koi azaadi hi na rahi,
Lut chalein hain, ab toh milqiyat bhi na rahi,
Parshaad bat chuka hai, ab koi bhi kya kahi?
 Kaise bhi karke kambakhat, zinda bas rahi

Gaali bhi suney, aur prataadna bhi itna sahey,
Aisi duniya mein bataao hum zinda kaise rahey?
Sab kuchh hi galat lagta hai, kisko ye baat kahein
Maut ki baarishon mein, koi sookha kaise rahey?

Pasand hai mujhko, uska woh khaas sharmana
Lubhaata hai mujhe, paas aakar bhi duur jaana
Kahoonga kisi roz usey, ke tu bas bhi kar ab
Rooth kar aise hi bas pal mein yun maan jaana

Laashein dekhi hain, aur khoob saara lahoo bhi
Tujhe jab dekha, toh paaya khud ko tanhaa bhi
Jaanoon kya zindagi hai meri, akele reh ke bhi
Baatein teri saari aaj bhi yaad kyon hai mujhe

Koshish bhi kyon karein, tu hai toh kuchh mera hi
Ghaaanv alag hain toh kya hua, dard hai mera bhi
Phir mil ja mujhse, thodi aur baatein bhi toh kar
Jaane kyun hain saali baatein bhi bas hain utni si

Kal andhera tha, aaj thoda ujaala mujhe dikh gaya
Pyaari teri baaton mein, phir aaj main tanha reh gaya
Baat meri nahin shaayad, ooparwaala bhi sun gaya
Thode se taare aur ek khula sa aasmaan reh gaya

Wednesday, June 13, 2012

Ek naya zakhm aur...

An original poem humbly dedicated to Karan Gaur's Kshay



Zakhm gehre le kar chale thay
Socha tha ke tu marham banega
Zindagi ke ye ajeeb silsiley hain
Socha tha ke tu hi suljha dega

Ek naya zakhm aur ban gaya
Tere bina main tanha reh gaya

Taaza hain zakhm abhi bhi mere
Aise hi yeh kyun phoot padte hain
Khoye hai raahon mein hum tere
Jaane kis baat se hum yun darte hain


Ek naya zakhm aur ban gaya
Tere bina main akela pad gaya


Bas ek hi dua maangi thi maine
Jaane kyon tu poora na kar saka
Bas ek hi ummeed thi tujhse meri
Sochti hoon kyon na hai woh mila


Ek naya zakhm aur ban gaya
Tere bina bilkul hi bikhar gaya

Bhookh toh badhti rahi hamesha
Par yeh pyaar toh na badh sakaa
Ek putla shaayad tha ummeed ka
Mera ghar phir kyon na bas saka?


Ek naya zakhm aur aaj ban gaya
Tere bina aaj phir main thehar gaya