Thursday, April 19, 2012

Ek jhalak mein ho jaaye...



A Keyrun Rao Original...

Yun hi mil gaye jaane kya wajah thi
Apni toh manzilein bhi kuchh juda thi
Kuchh pal ko miley do dil is tarah
Shaayad Khudaai ne isey taiy ki thi

Ek jhalak mein ho jaaye pyaar ajeeb hai
Pal mein lut jaaye tu kaisa khushnaseeb hai

Kuchh tha teri muskaan mein, na janoon kya
Yun laga ki ruk jaaoon ya beh jaaoon kya
Khwaabon ka bharosa kabhi kiya hi nahin
Tere mil jaane kya mukjhko naaz ho kya?

Dhadkan mein beet jaaye woh lamha kaisa
Chubhe jo har ek pal woh jeena bhi kaisa

Lehron si teri hansi sab hain jispe kurbaan
Yun hi lutaa dein hanste hue hum apni jaan
Taraste hain hum soch kar tujhko ae haseen
Jaane aaj hum kahaan aur tum jaane kahaan

Tere bina kyon maut bhi zindagi si hai lagey
Aaj bhi har us yaad mein jaane tu kyon basey

Rooth jaate hain kuchh pal ke liye is kadar
Ke ho na chhat pe koi asmaan na koi bhi ghar
Thode meel aur bhi tanha chal lete hain
Bin tere kat sakta hai hamara bhi yeh safar

Tanha nahin hoon, teri yaadein humsafar hain
Itni bheed mein jaane kyon aaj tanha hum hain

No comments:

Post a Comment