Monday, April 16, 2012

Adhuuri si kahaani

A Keyrun Rao Original



Woh kamsin kali murjhaa gayi
Aur patton se bhi jaan nikal gayi
Palat ke phir na dekha jo tum ne
Jaane mujhe aaj kyun hansi gayi

Adhuuri si kahaani, adhuure se hum
Thodi si khushiyaan, itne saare gham

Ek woh baat ansuni, aur ek ankahi
Shor mein bhi kaisi khamoshi rahi
Meri khamoshi tumne bhi hain padhi
Teri baatein maine jaane kaise suni


Adhuuri si kahaaniyaan, adhuure se hum
Thodi yeh chaandni, aur andhere mein ham


Ek mulaqaat ke pyaase, beete kitne janam
Kyon ho phir akele, hum jaante hain sanam
Kuchh reh gaya hai baaqi, iishq ki hai kasam
Sab dhal jaayega, sab khatm honge ye rasam


Adhuuri si kahaani, aur bhi adhuure se hum
Thodi si beer hai, bahut kam bacha hai rum

Ho jaayein fanaa, ab kya intezaar ho tera
Qatl tune hai kiya, reh gaya hai zakhm mera
Bhoolti nahin hai jaane mujhko kabhi tu kyon
Har pal mujhe hai intezaar bas ek kyun tera


Adhuuri si kahaani, adhuure se rahey hum
Thode se guzre hum, kuchh marey mera sanam

No comments:

Post a Comment