A Keyrun Rao Original
Jamta nahin har kisiko, raai ka daana,
Chala tha wo pagla badalne zamaana,
Nayi soch aur ek naya tha uska taraana,
Maan hi liya tha sab ne usko deewaana.
Sach toh hai ki usne khudko pehchaana
Kehta rahey kuchh bhi chaahe yeh zamaanan
Samajhna mushkil hai par milna hai asaan
Apne hi junoon pe kyon lutaaye apni jaan
Badi mushkil raah chala, khaaye kitne hi thokar
Koi jawaan jaise, karne chala khud ko kurbaan
Sach to hai ki usne hai sab mein bhi jhaanka
Phir bhi na mila usko us jaisa filmi taanka
Kahin aur nikal chala hai, kaun rokega usey?
Ek nayi alag si subah dikhti hai jisey
Uska suraj bhi aur shaayad taare bhi aur
Ab tum hi bataao kyon darega wo kisi sey?
Sach to hai ke usne dhoondh li apni zameen
Uski duniya aur hai, par sab lagey sangeen.