Wednesday, September 7, 2011

Sun nahin paaye…




A Keyrun Rao Original


Meena,


Kabhi sun bhi na paaye
tere maathe ke shikan
Mehsoos bhi na ki kabhi
Tere saanson ki ghutan


Shor to rehta hai is kamre mein
Jaane hum kahaan baste hain
Kabhi bataayenge apna haal
Soch ke phir lag jaate hain jeene mein


Kabhi jeene ki fursat bhi na hui
Jeete ji, kabhi sunaayenge apni bhi
Sunenge tanhaai tumhari bhi
Kabhi chuka denge ye udhaari bhi


Shor to rehta hai is dil mein
Tum yahin-kahin dhadakte ho
Kahaani ek si hi hai kuchh hamaari
Kharch ho gayi paise jutaane mein


Sun ne sunaane ka sauda karte hain
Kuchh pal ko to ab theharte hain
Khushiyaan to zyaada mili nahin
Ghamon ka hisaab kar lete hain


Shor to rehta hai is rooh mein
Jaane wo mujhse kya kehta hai
Tum awaaz bano kabhi uski
Hamesha yehi dua bas rehta hai


Tumhaara, Lallan.


(A humble tribute to Neeraj Ghaywan's short film - SHOR)

No comments:

Post a Comment