Friday, September 16, 2011

Ishqa bhara baadal


A Keyrun Rao Original

Bhool chala tha wo mausam
Baarishon se bachte-bachaate
Is tarah phir yun bheeg gaya
Jaise taaza zakhm pe marham

Ishqa bhara baadal aise takraya
Naach utha mere dil ka udaas saaya

Ghalib ke ghazal si muskaan
Khuda ka tarasha mujassima
Duaon si pak ye nigaahein
Bin soche bas ho gaye kurbaan

Ishqa bhara baadal aise takraya
Khuda ki neki ka phir khayaal aaya

Dil ka karobaar kiye to waqt beeta
Dard ki raah chalna phir seekh gaya
Saans lena bhar jeena hota nahin
Soch ke ye thode ashq bahaaya

Ishqa bhara baadal aise takraya
Ghamon se duur naya khwaab paya

Bhool chala tha wo mausam
Tere nuur se ab chamka-damka
Is tarah phir yun bheeg gaya
Roshni ye kabhi na hogi khatam

Ishqa bhara badal aise takraya
Teri ibaadat mein bas sar jhukaya

(Dedicated to Nargis Fakhri, the love of my life)

No comments:

Post a Comment