Friday, September 16, 2011

Ishqa bhara baadal


A Keyrun Rao Original

Bhool chala tha wo mausam
Baarishon se bachte-bachaate
Is tarah phir yun bheeg gaya
Jaise taaza zakhm pe marham

Ishqa bhara baadal aise takraya
Naach utha mere dil ka udaas saaya

Ghalib ke ghazal si muskaan
Khuda ka tarasha mujassima
Duaon si pak ye nigaahein
Bin soche bas ho gaye kurbaan

Ishqa bhara baadal aise takraya
Khuda ki neki ka phir khayaal aaya

Dil ka karobaar kiye to waqt beeta
Dard ki raah chalna phir seekh gaya
Saans lena bhar jeena hota nahin
Soch ke ye thode ashq bahaaya

Ishqa bhara baadal aise takraya
Ghamon se duur naya khwaab paya

Bhool chala tha wo mausam
Tere nuur se ab chamka-damka
Is tarah phir yun bheeg gaya
Roshni ye kabhi na hogi khatam

Ishqa bhara badal aise takraya
Teri ibaadat mein bas sar jhukaya

(Dedicated to Nargis Fakhri, the love of my life)

Thursday, September 15, 2011

Thodi si roshni chaand ki

A Keyrun Rao original


Ujaaley ka guroor jaise todey
Thodi si roshni chaand ki
Bas usi tarah rehte ho tum
Meri khudi ko har pal jodey

Duur ho jaanta hoon main
Meri dhadkan to tum ho
Tumhe yaad karta hoon main
Meri khwaaish bas tum ho


Baarish ke aawara boondon si
Barasti ho aasmaanon se
Aansoo ban kar mere saare
Koi ansuni dua hi ho jaise


Bada andhera sa lagta hai
Dua bhi rooh ko chubhta hai
Tu nahin jab paas mein
To khuda se bhi darr lagta hai


Jud ja phir meri saanson se
Dil ke dhadkanon ki wajah ban
Kuchh teri beeti bataa de
Mere bhi thode kissey sun

Chaand ka bhi ek guroor hai
Teri mohabbat sa suroor hai
Tab hi yaad aata hai kambakht
Tera saaya bhi jab mujhse duur hai

Kya zindagi hai…

A Keyrun Rao Original

Daulat waalon ki gareebi
Shohrat waalon ki bad-naseebi
Mohabbat waalon ki pyaari
Kab aayegi saali meri baari?

Kya zindagi hai koi samjhaao
Kisi faqeeran se mujhe milwaao

Sab ho kar bhi kuchh na ho
Kuchh note, thode se sikkey
Kamaai ki saari maara-maari
Kabhi aayegi saali meri baari

Kya zindagi hai mujhko samjhaao
Kisi peer se mujhe milwaao

Nashey mein sab samajhte hain
Hosh mein bas ulajhte rehte hain
Raas hi na aayi ye duniya-daari
Kya aayegi kabhi meri bhi baari

Kya zindagi hai koi samjhaao
Kisi haqeem se mujhko milwaao

Aansuon pe hansi aati hai
Dard se hi raahat aati hai
Kabhi yaad bhi aayegi humaari
Kabhi rooh chaahenge tumhaari

Kya zindagi hai mujhko samjhaao
Kisi khuda se mujhko milwaao

Chaahe phir bas chal denge
Ek muskaan dekhenge tumhaari
Kya zindagi hai koi to samjhaao
Us ishq se mujhko milwaao

Kya zindagi hai mujhko samjhaao
Kisi yaar se to mujhe milwaao

Wednesday, September 7, 2011

Sun nahin paaye…




A Keyrun Rao Original


Meena,


Kabhi sun bhi na paaye
tere maathe ke shikan
Mehsoos bhi na ki kabhi
Tere saanson ki ghutan


Shor to rehta hai is kamre mein
Jaane hum kahaan baste hain
Kabhi bataayenge apna haal
Soch ke phir lag jaate hain jeene mein


Kabhi jeene ki fursat bhi na hui
Jeete ji, kabhi sunaayenge apni bhi
Sunenge tanhaai tumhari bhi
Kabhi chuka denge ye udhaari bhi


Shor to rehta hai is dil mein
Tum yahin-kahin dhadakte ho
Kahaani ek si hi hai kuchh hamaari
Kharch ho gayi paise jutaane mein


Sun ne sunaane ka sauda karte hain
Kuchh pal ko to ab theharte hain
Khushiyaan to zyaada mili nahin
Ghamon ka hisaab kar lete hain


Shor to rehta hai is rooh mein
Jaane wo mujhse kya kehta hai
Tum awaaz bano kabhi uski
Hamesha yehi dua bas rehta hai


Tumhaara, Lallan.


(A humble tribute to Neeraj Ghaywan's short film - SHOR)

Saturday, September 3, 2011

Ek baar aise milenge


A Keyrun Rao Original

Nigaahein to mili hain,
kadam bhi kabhi milenge
Inayat rahi gar khuda ki
To khwabon ki kasam

Ek baar aise milenge
Baarishon ki tarah kuchh
Baadalon mein ghul kar
Pahaadon par barsenge

Kisi muraad ki tarah
Jo yun poora hua ek din
Badlenge aapka safar
Taaron se roshan hoga

Ek baar aise milenge
Noor ki tarah kuchh
Duaon mein ghul kar
Inayat ban kar barsenge

Raahat ho rooh ki
Mithaas bhar jaaye tu
Kya Pari hai jannat ki
Muskaane ki wajah tu

Ek baar aise milenge
Deewanon ki tarah kuchh
Khwahishon mein ghul kar
Khudayi ban kar barsenge

Adaa kuchh ghazab si
Nazar ujaala kar dein
Hayaa aisi ghazab ki
Dil ko ghulam kar de

Ek baar aise milenge
Faqeeron ki tarah kuchh
Koi ehsaan aisa karna
Neki ka jaisa koi jharna

Ek baar aise milenge
Khul ke dono jiyenge
Ek baar aise milenge
Khud ko fanaa karenge

(Dedicated to my love, Nargis Fakhri)