Wednesday, January 5, 2011

Kuchh samaan...

A Keyrun Rao Original

Kuchh baadal batore hain
Thode khushi ki boondein
Dard ke bade samandar
Nigal ke baithe hain jo

Phoot ke chhalkenge jazbaat
Sookhe lahu si kaali raat

Kuchh rishte batore hain
Kas ke seene se lagaaye
Chhoot-te hi nahin humse
Jaise laash se latke saaye

Bheegi si muskaan mein
Piro liye hain ye tamaam

Kuchh yaadein batore hain
Meethe namkeen aur rangeen
Baar-baar jeete hain unhe
Jaise bhi ho chaahe kahin

Chhil jaati hai ye khudi
Shaayad sazaa hai badhi

Kuchh zakhm batore hain
Kharonch ke maze lete hain
Nishaan bade gehre hain
Phir bhi kyon raas aate hain

Dard to ab thehar gaya
Mera wo kal ab guzar gaya

Kuchh lamhe batore hain
Thode tanha kuchh mehfil ke
Kabhi to shor tha itna bada
kabhi meri tanhaai goonjti

In sab ke beech jee lete hain
Kabhi sambhle ya gir lete hain

Kuchh duayein batori hain
Zindagi aur khushiyon ki
Saath rehte hain jo mere
Marte jeete jaise bhi

Saara kuchh to ye tera hai
Mera kya hai jo ab mara nahin...

No comments:

Post a Comment