Thursday, July 15, 2010
Kya wo chori thi?
A Keyrun Rao original, dedicated to
Vikramaditya Motwane's debut film 'Udaan'
Chori ka matlab bhi nahin jaanta tha jab
Ek rangeeli pencil churaai school se tab
Ghar pe maar padi bahut, mujhko sharm thi
Maa meri galti ka matlab hi samjhaa deti
Samajh nahin paaya main kya wo chori thi?
Bada hua main, ek achcha dost bhi bana liya
Achchai ka sabak theek se kisi ne nahi diya
Doosron ke liye jo sirf masti ki baat thi
Jaane kyun mujhe padti paapa ki laat thi
Samajh nahin paaya main kya wo chori thi?
Achche-bure ki parakh ab khud karne laga
Maa aur Paapa ke nazron mein wo tha daga
Par bina jaane-samjhe kaise maan loon ye
Ki ek bure insaan ki ye badi kamzori thi
Samajh nahin paaya main kya wo chori thi?
Kuchh saalon mein qafi bada ho gaya main
Chori nahin karta sharaarat nahi karta
Par zehan mein sawaal hamesha rehta hai
Haasil karne ki bhook ab bhi mujh mein thi
Sochta rehta hoon main kya wo chori thi?
Laakhon-karodon ghotaale roz dikhte hain
Sar uthakar chor har jagah ghoomte hain
Maa maine to sirf ek pencil churaayi thi
Sochta hoon usmein aisi kaunsi buraai thi
Kya maine samaaj mein koi aag lagaayi thi?
Tum na wo pencil dila paaye, na wo cycle
Duur se hi apne armaan rondta rehta tha
Kamaaoonga paise anaab shanaab main bhi
Naye naye tarqeeb aksar bunta rehta tha
Gareeb hona hi meri sabse badi khaami thi
Raees zaade kuchh lagte nahin mere saamne
Par gareebi ne meri awaaz dabaai hui thi
Kab tak mujhse bachenege ye log pata nahin
Phir zaroor milenge saare ye yaheen kahin
Tab kahoonga unse ke tumne bhi ki chori thi...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Wonderful.. moving and a very very apt write on the subject.
ReplyDeleteA fitting dedication!